Ghazals | غزلیں


English اردو


afsos Khud ko Khud peh numaayaaN nah kar sake
afsos Khud ko Khud peh numaayaaN nah kar sake
ham zindagee ko SaaHeb-e-eemaaN nah kar sake!

raah-e-t^alab meN kaar-e-numaayaaN nah kar sake
ashk-e-junooN ko aa,eenah-saamaaN nah kar sake!

woh i'shq kyaa jo dard kaa darmaaN nah kar sake?
woh dard kyaa jo i'shq ko aasaaN nah kar sake?

har lamHah-e-Hayaat Hisaab apnaa le gayaa
:ham zindagee meN phir koyee armaaN nah kar sake:

daamaan-e-aarzoo kee daraazee to dekhiYe
Khud se bhee Zikr-e-taNgee-e-daamaaN nah kar sake

yooN mubtilaa-e-kufr-e-tamannaa rahe keh ham
chaahaa hazaar, dil ko musalmaaN nah kar sake!

kyoN mujh se laag hai tujhe ai shoorish-e-Hayaat?
woh kaam kar jo gardish-e-dauraaN nah kar sake!

itnee to ho majaal keh Khud ko sameT leN
kyaa Gham jo ham talaafee-e-hijraaN nah kar sake?

is darjah fikr-e-shehr-e-nigaaraaN meN gum rahe
ham Khud hee apnee Zaat kaa i'rfaaN nah kar sake

:"Sarwar" chalo hai mai-kadah-e-i'shq saamne
muddat huyee ziyaarat-e-insaaN nah kar sake:!