Ghazals | غزلیں


English اردو


jalvah-gar ph`ir voh maahtaab huwaa
jalvah-gar ph`ir voh maahtaab huwaa
dekh`naa! ik jahaaN Kharaab huwaa!

chashm-e-nam reh gayee savaalee see
ashk apnaa hee Khud javaab huwaa

kon samjh`aaYe? kis ko samjh`aaYe?
i'shq meN kyoN koyee Kharaab huwaa

bazm-e-hastee meN aa ke pach`taaYe
aik ik Harf kaa Hisaab huwaa!

mo'jizah hai gunaah-e-ulfat bh`ee
Had se jab baRh` gayaa, cavaab huwaa!

soz-o-saaz-e-Hayaat ke haath`oN
Khatm afsaanah-e-shabaab huwaa

bh`ool kar jab nazar paRee Khud par
ranj-e-dunyaa Khayaal-o-Khwaab huwaa

rang-e-hastee ko dekh` kar :Sarwar:
Gham huwaa, aur be-Hisaab huwaa!