English اردو
yeh subH-o-shaam kee uljh`an, yeh roz-o-shab kee yaad
yeh subH-o-shaam kee uljh`an, yeh roz-o-shab kee yaadsunaa,ooN kyaa tumheN afsaanah-e-dil-e-barbaad?
jo aa,Ye yaad to dil Doob Doob jaataa hai
jo us ko bh`oolnaa chaahooN to aur aaYe yaad!
Khushee kee chaaNdnee dekh`ee, nah raaHatoN kee dh`oop
ziyaadah is se bh`alaa hogee aur kyaa uftaad?
maiN Khud ko Dh`hooNDne niklaa to raastaa nah milaa
daleel-e-raah naz^ar th`ee miree, so be-buniyaad!
shikastah-Haalee-e-ahl-e-vafaa! ma'aZ-Allah!
udh`ar hai aik zamaanah, idh`ar dil-e-naashaad
faqeeh-e-shehr ko furSat kahaaN siyaasat se?
Ghareeb-e-shehr sunaaYe kise bh`alaa faryaad?
taSarrufaat-e-yaqeen-o-gumaaN ne looT liyaa
vagarnah aisaa nah th`aa shehr-e-aarzoo barbaad!
Khayaal-o-Khwaab kee dunyaa hai aur maiN :Sarwar:
umeed-e-daad hai mujh` ko nah shikva-e-bedaad!
غزل
