Ghazals | غزلیں


English اردو


nah soz aah meN meree nah saaz hai dil meN
nah soz aah meN meree, nah saaz hai dil meN
maiN laa,ooN kaun see sauGhaat teree meHfil meN?

maiN aa,eenah hooN keh aa,eenah-roo naheeN ma'loom
yeh waqt aayaa hai is a'ashiqee kee manzil meN

Khudee kahooN keh ise beKhudee bataa,o tum
maiN apne aap chalaa aayaa koo-e-qaatil meN

hamaare Z^abt^ ne rakkhaa bharam Khudaayee kaa
zabaaN peh aa hee gayee thee jo baat thee dil meN

nah apne dil kee kaho tum, nah doosroN kee suno
a'jeeb raNg yeh dekhaa tumhaaree meHfil meN

Haram ke haiN yeh shanaasaa, nah dair se waaqif
rakhaa hai kyaa bhalaa in muftiyaan-e-kaamil meN?

yaqeeN gumaan meN badlaa, gumaaN a'qeedeh meN
hameN to bas yeh milaa tere Khaanah-e-gil meN

faraaz-e-i'shq ne is martabeh ko poNhchaayaa
rahaa nah farq koyee raah aur manzil meN

Kharosh-e-maujah-e-t^oofaaN ne laakh da'wat dee
ulajh ke reh gaYe lekin fareb-e-saaHil meN

abhee milaa bhee nah thaa HasratoN se chhuTkaaraa
umeed Daal gayee aa ke aur mushkil meN

koyee mujhe "Sarwar"! kahe nah deewaanah
shumaar mujh ko karo a'ashiqaan-e-kaamil meN!