Ghazals | غزلیں


English اردو


beKhudee aa gayee le kar kahaaN ai yaar mujhe
beKhudee aa gayee le kar kahaaN ai yaar mujhe?
kar gayee apnee Haqeeqat se Khabardaar mujhe

:Khoob kaTtee hai jo mil baiThe haiN deewaane do:
us ko shamsheer miee, jur,at-e-iz^haar mujhe

teree meHfil kee fusooN-saaziyaaN Allah Allah!
kheNch kar le gayee phir laZZat-e-aazaar mujhe

SubH-e-ummeed hai aa,eenah-e-shaam-e-Hasrat
aah achhe naz^ar aate naheeN aacaar mujhe!

maiN dil-o-jaan se is Husn-e-a't^aa ke qurbaaN
"jalwah-e-Husn" use, Hasrat-e-deedaar mujhe"

al-amaaN al-Hafeez^ apnoN kee karam-farmaayee
ban gayee raaHat-e-jaaN tuhmat-e-aGhyaar mujhe

ek taSweer ke do ruKh haiN ba-faiz^-e-eemaaN
t^auf-e-Ka'bah ho keh woh Halqah-e-zunnaar mujhe

maiN zamaane se Khafaa, dunyaa hai mujh se naalaaN
imtiHaaN ho gayee yeh fit^rat-e-Khud,daar mujhe

saaGhar-e-mai nah sahee, durd-e-tah-e-jaam sahee
tishnah-lab yooN to nah rakh saaqee-e-Khushkaar mujhe!

manzil-e-dard meN woh guzree hai mujh par "Sarwar"
ab koyee marHalah lagtaa naheeN dushwaar mujhe