Ghazals | غزلیں


English اردو


bayaan-e-Husn-o-shabaab ho gaa
bayaan-e-Husn-o-shabaab ho gaa
to phir nah kyoN iZ^t^iraab ho gaa?

Khabar nah thee apnee justjoo meN
Hijaab-andar-Hijaab ho gaa!

kahaa kare mujh ko laakh dunyaa
sukoot meraa jawaab ho gaa

kise Khabar thee dam-e-shikaayat
wo is t^araH aab-aab ho gaa?

maiN Khud meN reh reh ke jhaaNktaa hooN
kabhee to woh be-niqaab ho gaa!

kitaab-e-hastee palaT ke dekho
kaheeN Khudee kaa bhee baab ho gaa

nah muNh se bolo, nah sar se khelo
ab aur kyaa inqilaab ho gaa?

karam tiraa be-karaaN agar hai
miraa gunah be-Hisaab ho gaa!

wafaa kee ummeed aur un se?
saraab aaKhir saraab ho gaa!

khaRaa hooN dar par tire sawaalee
yeh Zarrah kab aaftaab ho gaa?

rah-e-muHabbat meN jaane kab tak
adaa Khiraaj-e-shabaab ho gaa!

Hayaat-e-pechaaN kee uljhanoN meN
chhupaa kaheeN meraa Khwaab ho gaa!

rahaa agar Haal yooN hee :Sarwar:
to Hashr teraa Kharaab ho gaa!