English اردو
dil-e-Ghareeb par kyaa kyaa nah imtiHaaN guzre
dil-e-Ghareeeb parh kyaa kyaa nah imtiHaaN guzretamaam a'alam-e-imkaan-e-do-jahaaN guzre!
Saleeb-e-waqt ko apnaa Khiraaj lenaa thaa
so ham bhee meHshar-e-hastee se nauHah-KhwaaN guzre!
lagaa ke seeneh se baiThaa hooN :aaj: yooN apnaa
nah jaane :kal: miraa kaise kaTe, kahaaN guzre!
daleel koyee, nah koyee jaras, nah manzil hai
rah-e-umeed se aise bhee kaarwaaN guzre
yeh zindagee hee to hai aisee naheeN baRee yeh baat
guzar hee jaaYe gee yaaro!, jahaaN-tahaaN guzre!
naz^ar Khamosh, dil aashuftah, rooH be-saamaaN
Khudaa nah-kardah Hayaat aisee raa,igaaN guzre
Zaraa yeh dekhiYe ahl-e-Khirad kee be-lut^fee
rah-e-muraad se guzre to be-nishaaN guzre!
Khudee fareb-e-naz^ar, be-Khudee-gumaan-o-Khayaal
:to phir yeh kaise kaTe zindagee, kahaaN guzre?:
KhizaaN-gazeedah bahaareN haiN aur maiN :Sarwar:
balaa se apnee bahaar aaYe yaa KhizaaN guzre!