English اردو
kisee kee kufr-saamaanee ke din haiN
kisee kee kufr-saamaanee ke din haiNhamaaree Khaanah-weeraanee ke din haiN
i'naayaat-e-sitam meN kab kamee hai
:hamaaree taNg-daamaanee ke din haiN:
tamannaa, aarzoo, Hasrat, umeedeN
dilaa! yeh kaisee Hairaanee ke din haiN
wohee ham haiN, wohee weeraaniyaaN haiN
nah raat aasaaN, nah aasaanee ke din haiN
nah woh aaYe nah un kee yaad aayee
a'jab daur-e-pareshaanee ke din haiN
nah poochho Haal-e-dil, ham se nah poochho
Gham-e-dil kee faraawaanee ke din haiN
sunaa hai is t^araf woh aa rahe haiN
Ghazal-goyee, Ghazal-Khwaanee ke din haiN
machee hai dhoom :Urdu Anjuman: meN
suKhan-fehmee, suKhan-daanee ke din haiN
Ghazal kehte raho tum yooN hee :Sarwar:
KhayaaloN kee gul-afshaanee ke din haiN
غزل
