Ghazals | غزلیں


English اردو


shaam-e-KhizaaN hai SubH-e-bahaaraaN ke saath saath
shaam-e-KhizaaN hai SubH-e-bahaaraaN ke saath saath
:kaafir lage huwe haiN musalmaaN ke saath saath:!

mushkil naheeN hai laanaa koyee joo-e-sheer kaa
ho jur,at-e-a'mal bhee jo eemaaN ke saath saath!

pyaare! yeh zindagee hai, koyee dil-lagee naheeN
sau pech-o-Kham haiN gardish-e-dauraaN ke saath saath!

yooN bhee rah-e-umeed se guzre haiN baarhaa
dil nauHah-KhwaaN thaa deedah-e-giryaaN ke saat saath!

dil meN mire chiraaGh se jalte chale gaYe
yaad aayee kis kee shaam-e-GhareebaaN ke saath saath?

sab partaw-e-Hayaat fareb-e-nigaah the
ruKhSat huwe taSawwur-e-jaanaaN ke saath saath!

kis lut^f se chale hai yeh maidaan-e-she'r meN
t^arz-e-kalaam, t^abe'-GhazalKhwaaN ke saath saath

fikr-e-Hayaat, Zikr-e-butaaN, yaad-e-raftagaaN
tasme lage haiN kitne miree jaaN ke saath saath!

apnee talaash meN kaho :Sarwar: woh kyaa huwe
hosh-e-Hawaas, deedah-e-nigaraaN ke saath saath?