Ghazals | غزلیں


English اردو


yooN ahl-e-dil meN meraa Ilaahee shumaar ho
yooN ahl-e-dil meN meraa Ilaahee! shumaar ho
:meree jabeeN peh naqsh-e-kaf-e-paaYe yaar ho

itnaa acar to tujh meN Gham-e-yaad-e-yaar ho
maiN be-sukooN idhar, woh udhar be-qaraar ho!

shaam-e-KhizaaN ba-raNg-e-jamaal-e-bahaar ho
gar zindagee peh apnee koyee iKhtiyaar ho

daaman hai chaak meraa, girebaaN bhee taar-taar
koyee to ho jo i'shq kaa aa,eenah-daar ho

maiN hooN, Khayaal-e-yaar ho, shaam-e-umeed ho
yooN Khaatimah Hayaat kaa paayaan-e-kaar ho

afsos ab sazaa ke bhee qaabil naheeN rahaa
meree t^araH Khudaa nah kare koyee Khwaar ho

gum hooN maiN is t^araH Khud apnee hee Zaat meN
jaise woh mauj, beHr kee jo raazdaar ho

Husn-e-Khudee meN raNg ho aisaa keh ham-nisheeN
aa,eenah jis ko dekh kar Khud sharm-saar ho

jaisaa keh mere saath rah-e-dard meN huwaa
waisaa hee tere saath ho aur baar-baar ho!

"Sarwar"! du,a'a hamaaree tire Haq meN hai yehee
yeh bazm-e-she'r tere liYe saazgaar ho!