Ghazals | غزلیں


English اردو


mire jab bhee qareeb aayee bohat hai
mire jab bhee qareeb aayee bohat hai
yeh dunyaa maiN ne Thukraayee bohat hai!

maiN samjhotaa to kar looN zindagee se
magar z^aalim yeh harjaayee bohat hai!

tumheN sarshaaree-e-manzil mubaarak
hameN yeh aablah-paayee bohat hai!

kahaaN maiN aur kahaaN teree tamannaa
magar yeh dil! keh saudaayee bohat hai!

balaa se gar naheeN suntaa hai koyee
majaal-o-taab-e-goyaayee bohat hai

maiN Hasrat-aashnaa-e-aarzoo hooN
miree Gham se shanaasaayee bohat hai!

maiN Khud ko DhooNDtaa hooN anjuman meN
mujhe eHsaas-e-tanhaayee bohat hai!

:nah aayee yaad to barsoN nah aayee
magar jab aayee to aayee bohat hai!:

miree rindee ba-raNg-e-paarsaayee
Hareef-e-Khauf-e-ruswaayee bohat hai

zamaaneh ko shikaayat hai yeh "Sarwar"
keh tujh meN boo-e-Khudraayee bohat hai!