Ghazals | غزلیں


English اردو


SubH-e-umeed-o-aarzoo shaam-e-alam meN Dhal gayee
SubH-e-umeed-o-aarzoo shaam-e-alam meN Dhal gayee
nabZ^-e-Hayaat ruk gayee, saa,a't-e-deed Tal gayee!

i'shq kee lau bhaRak uThee, waqt kee lai badal gayee
:bazm-e-Khayaal meN tire Husn kee sham,a' jal gayee:

meree nawaa-e-neemshab lab peh machal machal gayee
tere dar-e-qubool tak aaj gayee nah kal gayee!

baad-e-Khizaan-e-be-amaaN! tere karam kaa shukriyah!
meree naz^ar meN jo thee woh shaaKh-e-muraad jal gayee

teraa kamaal bekaraaN, meree bisaat^ muKhtaSar
teree nigaah kyaa uThee, dunyaa miree badal gayee!

rehraw-e-jaadah-e-Khudee! tujh ko Khabar bhee hai koyee?
meHv-e-anaa hai too idhar, dunyaa udhar badal gayee!

maiN naheeN maiN, nah tum ho tum, a'ql hai daNg, hosh gum
tum jo naheeN to maiN kahaaN, laZZat-e-har Ghazal gayee!

raah-e-fanaa meN sar-nigooN baiThaa hai "Sarwar"-e-HazeeN
Hasrat-e-zeest reh gayee, u'mr-e-a'zeez Dhal gayee!