Ghazals | غزلیں


English اردو


bedard ashkbaariyaaN aur aah-o-zaariyaaN
bedard ashk-baariyaaN aur aah-o-zaariyaaN
:muddat raheN gee yaad yeh baateN hamaariyaaN:

andaaz-o-naaz, tis peh haiN baateN yeh pyaariyaaN!
laaway micaal koyee kahaaN se tumhaariyaaN?

aatee haiN haaYe! yaad woh aKhtar-shumaariyaaN
ham aur shab-e-umeed kee ummeed-waariyaaN

har aarzoo Ghubaar, tamannaa dhuwaaN dhuwaaN!
taqdeer mujh Ghareeb ko Thokar jo maariyaaN

aa,eenah-daar-e-hastee-e-naa-meHramaanah haiN
mehjooriyaaN miree, yeh miree dil-figaariyaaN

din raat dard-o-ranj-o-muSeebat se kaam hai
baazee bisaat^-e-i'shq par kuchh aisee haariyaaN

Tuk is t^araf bhee dekh, nigaah-e-Ghalat^ sahee
kyaa tujh ko saaree bhool gayeeN apnee yaariyaaN?

ik u'mr-e-be-cabaat par itnaa Ghuroor-o-naaz?
dekhe to koyee aap kee Ghaflat-shi,a'ariyaaN!

nay laZZat-e-wiSaal, nay tadbeer-e-Hoor hai
kis kaam aayeeN aap kee parhez-gaariyaaN?

"Sarwar"! kabhoo kisoo se nah dil ko lagaa,iyo!
Tuk soch raah-e-i'shq meN apnee woh KhwaariyaaN