English اردو
woh aa ke lagee dil kee bujhaa kyoN naheeN dete
woh aa ke lagee dil kee bujhaa kyoN naheeN dete?is dard-e-muHabbat kee dawaa kyoN naheeN dete?
naz^roN se naz^ar apnee milaa kyoN naheeN dete?
ik aan meN bigRee ko banaa kyoN naheeN dete?
ham bhee to sitaayish-gar-e-andaaz-e-jafaa haiN!
tum daad-e-wafaa, naam-e-Khudaa, kyoN naheeN dete?
dil Khoon, jigar chaak hai, is par bhee gilaa hai
ham i'shq meN taawaan-e-wafaa kyoN naheeN dete?
dard-aashnaa koyee hai kahaaN teerah-shabee meN?
ik dil hai! so us ko bhee bujhaa kyoN naheeN dete?
aasoodah-e-Gham ho chalaa hai yeh dil-e-muZ^t^ar
tum koyee nayaa zaKhm lagaa kyoN naheeN dete?
din raat haiN us yaad-e-giraaN-baar se bojhal
"Sarwar" tum use jee se bhulaa kyoN naheeN dete?
gar naalah-e-shabgeer se dunyaa hai hiraasaaN
aa,een-e-wafaa us ko bataa kyoN naheeN dete?
qaa,im hai bharam aap kaa arbaab-e-junooN se
kyaa baat hai phir un ko du,a'a kyoN naheeN dete?
"Sarwar"! yeh aseeree Gham-e-duraaN kee kahaaN tak?
tum waqt ko aa,eenah dikhaa kyoN naheeN dete?