Ghazals | غزلیں


English اردو


zamaane kee adaa-e-fitnah-saamaanee naheeN jaatee
zamaane kee adaa-e-fitnah-saamaanee naheeN jaatee
i'naayat-haaYe-bejaa kee firaawaanee naheeN jaatee

naheeN jaatee kisee Soorat Ghazal-Khwaanee naheeN jaatee
Khayaal-o-fikr kee "Sarwar" zar-afshaanee naheeN jaatee

woh Haalat hai keh ab Soorat bhee pehchaanee naheeN jaatee
ilaahee! kyoN miree aashuftah-saamaanee naheeN jaatee?

hazaaroN inqilaab aate rahe dunyaa-e-hastee meN
"magar dil hai keh is kee Khaanah-weeraanee naheeN jaatee"

junooN ne kar diYe sab faash asraar-e-Khudaawandee
Khirad kee phir bhee aaKhir kyoN hamah-daanee naheeN jaatee?

agar yeh aazmaa,ish hai to kaisee aazmaa,ish hai!
hamaaree hee tiree meHfil meN kyoN maanee naheeN jaatee?

:kahooN kuchh to hai mushkil, gar rahooN Khaamosh to mushkil:
yeh woh mushkil hai pyaare jo ba-aasaanee naheeN jaatee!

yeh she'r-o-shaa,i'ree hai yaa wabaal-e-jaan-o-eemaaN hai?
Huroof-o-lafz^ kee haNgaamah-saamaanee naheeN jaatee

Ghazal "Sarwar"! tum aisee laaYe ho yaaroN kee meHfil meN?
ta,a'jjub kyaa tumhaaree gar pashemaanee naheeN jaatee!