Ghazals | غزلیں


English اردو


jo raheen-e-yaad-e-Habeeb ho to woh shaam shaam-e-alam naheeN
jo raheen-e-yaad-e-Habeeb ho, to woh shaam shaam-e-alam naheeN
"jise tere Gham se ho waast^ah, woh KhizaaN bahaar se kam naheeN"!

Gham-e-rozgaar kee aaNdhiyaaN kaheeN shame'-shauq bujhaa nah deN
mujhe Khauf gar hai to bas yehee, mujhe aur koyee bhee Gham naheeN

nah woh soz hai,nah woh saaz hai, nah woh kaif-e-naaz-o-niyaaz hai
woh sitam ba-shakl-e-karam naheeN, woh karam ba-raNg-e-sitam naheeN!

wohee ek meraa sawaal hai, wohee ek teraa jawaab hai
too yaqeen kar tiree Khaamshee kisee aur jawaab se kam naheeN!

nah a'dam nah koyee wujood hai, nah kisee kaa koyee shuhood hai
yeh t^lism-e-Zaat usee kaa hai jo aseer-e-Hukm-e-a'dam naheeN!

miree shaan-e-i'shq to dekhiYe keh Khudee meN mujh ko Khudaa milaa
mujhe e'tibaar Khudee kaa hai, mujhe fikr-e-dair-o-Haram naheeN

mujhe muHtaram wohee she'r hai jo raheen Husn-e-aZal ka ho
bhalaa woh bhee SaaHeb-e-she'r kyaa jo ameen-e-lauH-o-qalam naheeN!

miraa she'r raNg-e-mai-e-kuhan, miraa naam :Sarwar:-e-kam-suKhan
miraa kaam Khidmat-e-fikr-o-fan, maiN qateel-e-jaah-o-Hasham naheeN!