English اردو
nakhat-e-zulf Ghazal, garmee-e-ruKhsaar Ghazal
nakhat-e-zulf Ghazal, shoKhee-e-ruKhsaar Ghazal!naaz-o-andaaz-o-adaa, garmee-e-raftaar Ghazal!
soz meN Doobee huyee, saaz se sarshaar Ghazal
"le uRee hai tiraa lejah, tiree guftaar Ghazal!"
SubH-e-ummeed yehee hamdam-o-damsaaz rahee
shaam-e-Gham ban gayee thak kar miree Gham-Khwaar Ghazal
kaun samjhaaYe gaa is lamHah-e-maujood kee baat?
yooN to kehne ko kahee jaaYeN gee sau baar Ghazal
Khoon-e-ummeed meN shaamil ho jo Khoon-e-hastee
tab kaheeN jaa ke huwaa kartee hai tai,yyaar Ghazal!
aaYeN ab ahl-e-Khirad, shaam-e-junooN hotee hai
paRh rahaa hai koyee Mansoor sar-e-daar Ghazal!
"Sarwar"-e-Khastah-nafas hadyah-e-dil laayaa hai
ek lamHah hee sahee, sun to leN sarkaar Ghazal!