English اردو
dard se jaane gaYe, aahoN se pehchaane gaYe
Ghazaldard se jaane gaYe, aahoN se pehchaane gaYe
mujh se pehle bazm meN jab mere afsaane gaYe
anjuman meN teree jab jab tere deewaane gaYe
shama' sar dhuntee rahee, qurbaan parwaane gaYe
saaqee-e-Khushkaar kee mo'niz-numaayee dekhiYe
jis t^araf naz^reN uTheeN, us samt paimaane gaYe
waqt aayaa to nazar aayaa nah koyee door door
dost sab apne isee u'nwaan pehchaane gaYe
ham bataaYeN kyaa huwe saare butaan-e-aarzoo
kuchh gaYe soo-e-Haram aur kuch Sanam-Khaane gaYe
chand KhwaaboN par binaa rakkhee thee ham ne zeest kee
aaNkh kholee to kahaaN woh sab Khudaa jaane gaYe
jaan-o-dil, a'ql-o-Khirad, i'lm-o-yaqeeN, wehm-o-gumaaN
ho buraa is i'shq kaa sab apne begaane gaYe
ham haiN aur dunyaa peh hai ik naa-muraadaanah nigaah
aaYe the anjaan sab se aur anjaane gaYe
ek ummeed-e-karam aur ik du,a'a-e-naatamaam
door tak raah-e-fanaa meN ham ko poNhchaane gaYe
yaad ne Daale haiN Dere kaar-gaah-e-shauq meN
gaahe gaahe ham bhee waaN is dil ko behlaane gaYe
dil woh ik naadaaN keh suntaa hee naheeN hai koyee baat
tum bhee "Sarwar" jaane kis z^aalim ko samjhaane gaYe
DhooNDte ho ab yahaaN kyaa "Sarwar"-e-darwesh ko
SaaHeb-e-dil jis qadar the, kab ke mai-Khaane gaYe!
غزل

