Ghazals | غزلیں


English اردو


qatrah-e-dil keh nishaaN hai kisee har-jaayee kaa
Ghazal

qat^rah-e-dil keh nishaaN hai kisee har-jaayee kaa
aaj u'nwaan hai meree shab-e-tanhaayee kaa

dard kuchh kam to nah thaa aap ke saudaayee kaa
marHalah aur baRhaa us peh shikebaayee kaa

kesah-e-fuqr hai bhaaree tiree Khud-raayee kaa
kyaa ta,a'jjub nah rahaa Zauq jabeeN-saayee kaa

band kyoN kar diYe dar ahl-e-junooN par saare
shauq aisaa hee jo thaa anjuman-aaraayee kaa

be-Khudee le gayee kis baam-e-Khudee par us ko
phir pataa hee nah milaa tere tamannaayee kaa

dil-giriftah see tiree yaad jo aayee kal shaam
raat bhar Zikr rahaa pichhlee shanaasaayee kaa

hooN sar-e-daar-e-wafaa muntaz^ir, aaYe to sahee
shauq dunyaa ko hai gar Haashiyah-aaraayee kaa

kaun suntaa hai bhalaa aah-o-fuGhaan-e-darwesh
shikwah kis se ho zamaane kee paZeeraayee kaa

ek gumnaam kasak see hai rag-e-jaaN ke qareeb
yeh saraapaa nah ho us paikar-e-Zebaayee kaa

yooN to kehne ko mire paas bohat hai dil meN
"kyaa karooN, Hashr meN Dar hai tiree ruswaayee kaa"

taZkarah hotaa hai akcar sar-e-meHfil "Sarwar"
aap aur aap kee is qaafiyah-paimaayee kaa!


======================