Ghazals | غزلیں


English اردو


ik aan meN tamaam miraa kaam kar gayee
ik aan meN tamaam miraa kaam kar gayee
:dil se tiree nigaah jigar tak utar gayee:

tum ne umeed toR ke achh`aa naheeN kiyaa
th`ee jis ke dam se raunaq-e-shaam-o-saHar, gayee!

vaaraftagee-e-shauq! miree aarzoo-e-shauq!
dekh`ooN gaa tujh` ko dil se nikal kar agar gayee!

kitne fasaane keh gayee shama'-e-shab-e-firaaq
kyoN ch`eRne use miree aah-e-saHar gayee?

yaaraan-e-maikadah ko mubaarak ho daur-e-jaam
jaisee kaTee hamaaree bh`ee achh`ee guZar gayee

maiN kis t^araH bataa,ooN keh jeene kee aarzoo
ik Haadiceh meN aap hee bemaut mar gayee!

maiN baa-Khabar hooN aisaa, Khud apnee Khabar naheeN
meree nigaah-e-shauq kahaaN per Th`ehar gayee?

voh t^aaqat-o-majaal, nah voh soz-o-saaz hai
:Sarwar: tiree voh sho'lah-fishaanee kidh`ar gayee?