English اردو
Soorat-e-raNg-e-gul-o-boo-e-saman jaate haiN
Soorat-e-raNg-e-gul-o-boo-e-saman jaate haiNjis t^araf jaate haiN voh tauba-shikan jaate haiN!
un ke milne kee adaa yaad rahe gee yaaro!
jh`uk ke jitne bh`ee milo aur voh tan jaate haiN!
tum uTh`aayaa karo deevaar magar yaad rahe
:ham to aavaaz haiN! deevaar se ch`an jaate haiN:
aah! yeh t^arz-e-vafaadaaree-e-ahl-e-dunyaa!
jaisee hotee hai Z^aroorat, vohee ban jaate haiN
un kee yeh t^arz-e-jafaa Khoob hameN raas aayee
rooTh`te rooTh`te voh aap hee man jaate haiN!
Khud-shanaasee hee Khudaa-beenee kaa unvaaN to naheeN?
bas yehee dh`un hai, isee dh`un meN magan jaate haiN
aap aate haiN to veeraane meN aatee hai bahaar
aur uTh`te hee bikh`ar kitne chaman jaate haiN!
:Sarwar: ab meree fuGhaaN kaun hai sun,ne vaalaa?
meHfil-e-she'r se arbaab-e-suKhan jaate haiN
غزل
