Ghazals | غزلیں


English اردو


aap aate haiN to milne se Khushee hotee hai
aap aate haiN to milne se Khushee hotee hai
haaYe kyaa cheez muHabbat kee gh`aRee hotee hai!

dil jo dunyaa se uTh`aayaa to milaa Khud kaa patah
beKhudee meN bh`ee nihaaN rasm-e-Khudee hotee hai

manzil-e-i'shq kee aasaaniyaaN? Allah, Allah!
sehl samjh`o jise, dushwaar vohee hotee hai

maiN jo haNstaa hooN to koyee naheeN haNsne vaalaa
aur rotaa hooN to dunyaa ko Khushee hotee hai

i'shq meN hosh uRe jab to samajh` meN aayaa
Z^aamin-e-hosh yehee be-Khabaree hotee hai

laakh` dil us se lagaa,o bh`ee to hotaa kyaa hai?
dost kis kee bh`alaa dunyaa-e-danee hotee hai?

ham ko shamsheer-o-salaasil se Daraane waalo!
kaheeN aise bh`ee muHabbat meN kamee hotee hai?

kyaa maze aate haiN ph`ir shaam-e-tamannaa :Sarwar:
maiN idh`ar or udh`ar aashuftah-saree hotee hai