English اردو
rahe gaa ham peh yeh eHsaan-e-do-jahaaN kab tak?
rahe gaa ham peh yeh eHsaan-e-do-jahaaN kab tak?zameeN yeh paa,ooN tale, sar peh aasmaaN kab tak?
Hisaab-e-besh-o-kam-e-zindagee, miaaN! kab tak?
yeh fikr-e-sood, yeh andeshah-e-ziyaaN kab tak?
Th`ehar Zaraa keh gh`aRee do gh`aRee ko dam le leN
yeh aazmaa,isheN, ai u'mr-e-raa,igaaN! kab tak?
gumaaN to Khair gumaaN hai, yaqeeN yaqeeN kab hai?
jiyeN ge aise sahaaroN ke darimyaaN kab tak?
kahaaN hai manzil-e-maqSood, kaun hai maqSood?
nah jaane dekhiye bh`aTke yeh kaarvaaN kab tak?
bajaa keh aap ko shikvah hai aik dunyaa se
magar yeh raNj-o-Gham-o-naalah-o-fuGhaaN kab tak?
hameeN se naam-e-vafaa ik jahaaN meN raushan hai
hameeN ko Khwaar kare gaa voh mehrbaaN kab tak?
ik aan beTh` leN mai-Khaana-e-muHabbat meN
savaal-e-zuhd-o-gunah, fikr-e-een-o-aaN kab tak?
kabh`ee to chaarah-garee ho, koyee to dost mile
Hayaat le ke ph`ire gee kashaaN kashaaN kab tak?
nah doosroN se tavaqqo', nah dostoN se umeed
rahe gaa aise meN meraa yeh aashiyaaN kab tak?
yeh subH-o-shaam kee gardish, yeh imtiHaaN :Sarwar:
bacho ge naavak-e-dunyaa se meree jaaN! kab tak?
غزل
