Ghazals | غزلیں


English اردو


maanaa keh i'laaj-e-dil-e-beemaar bohat hai
maanaa keh i'laaj-e-dil-e-beemaar bohat hai
kyaa keejiye hameN laZZat-e-aazaar bohat hai!

dunyaa to hameN chain se jeene naheeN detee
aur dil hai keh dunyaa kaa t^alab-gaar bohat hai

apnoN kee umeedeN haiN to GhairoN ke taqaaZ^e
dil vaise hee Haalaat se bezaar bohat hai

insaan kaa insaan ko insaan samajh`naa
aasaan nah jaano ise, dushvaar bohat hai!

hai aap ko shauq-e-sar-o-saamaan-e-zamaanah
ham ko to yehee ik nigah-e-yaar bohat hai!

tum laakh` uTh`aayaa karo deevaar pah deevaar!
tum ho to hameN saayah-e-deevaar bohat hai

veHshat-kadah-e-zeest meN ik Harf-e-tamannaa
th`oRee hee sahee muhlat-e-iz^haar bohat hai

aasaaN naheeN :Sarwar: ko muHabbat meN sataanaa
deevaanah hai par i'shq meN hushyaar bohat hai!