Ghazals | غزلیں


English اردو


be-naam hooN, be-kaar hooN, badnaam naheeN hooN
be-naam hooN, be-kaar hooN, badnaam naheeN hooN
shaa,i'r hooN magar mast-e-mai-e-Khaam naheeN hooN

ik u'mr tire dar pah hee sajdoN meN kaTee hai
yeh kaise kahaa, vaaqif-e-Islam naheeN hooN?

itnaa nah sataa, dekh`! mujh`e gardish-e-dauraaN!
kamzor hooN, shaa,istah-e-aalaam naheeN hooN

maZhab hai miraa i'shq to maslak hai muHabbat
:is baab meN to moorid-e-ilzaam naheeN hooN:

din raat jo haiN mujh` pe i'naayaat-e-musalsal
itnaa to buraa, ai Gham-e-ayyaam! naheeN hooN!

har ashk chiraaGh-e-shab-e-ummeed hai meraa
jo raah take SubH kee voh shaam naheeN hooN

aadaab-e-muHabbat se hooN vaaqif maiN yaqeena"
haaN! yeh hai keh paaband-e-rah-e-a'am naheeN hooN

kyaa ch`oR dooN dunyaa ke liye goshah-nasheenee?
Sad shukr hai :Sarwar:! keh maiN Khud-kaam naheeN hooN!