Ghazals | غزلیں


English اردو


tum aise zuhrah-nigaaroN kee baat kaun kare?
tum aise zuhrah-nigaaroN kee baat kaun kare?
"zameeN pe reh ke sitaaroN kee baat kaun kare?"

jo chaaho dekh`naa to dekh` lo dil-e-Sad-chaak
naz^ar kaa Zikr, ishaaroN kee baat kaun kare?

qafas meN apnee baRe chain se guZartee hai
KhizaaN-gazeedah bahaaroN kee baat kaun kare?

fareb-o-Khwaab hai dunyaa, gumaan hai u'qbaa!
bataa,o! aise sahaaroN kee baat kaun kare?

jise bh`ee dekh`iYe, hai meHv-e-Hashr-aaraayee
nigaah-e-naaz ke maaroN kee baat kaun kare?

ma,aal-e-hastee-e-mauhoom jaante haiN ham
bh`aNwar meN reh ke kinaaroN kee baat kaun kare?

naz^ar-navaaz naz^aare tamaam vehm-o-Khayaal!
naz^ar-navaaz naz^aaroN kee baat kaun kare?

jab apne aap se :Sarwar: tumheN naheeN furSat
to ph`ir bataa,o keh yaaroN kee baat kaun kare?