Ghazals | غزلیں


English اردو


dekh`o kabh`ee to meree t^araf Khush-dilee ke saath`
dekh`o kabh`ee to meree t^araf Khush-dilee ke saath`
kyaa farZ^ hai k baat karo be-ruKhee ke saath`?

haNs haNs ke jee rahaa hooN Gham-e-zindagee ke saath`
:too Hausala to dekh` miraa, be-basee ke saath`:!

jeenaa Khushee ke saath`, nah marnaa Khushee ke saath`
kyaa Khoob zeHmateN haiN yeh dil kee lagee ke saath`!

Gham se najaat paaYe to paaYe voh kis t^araH?
yeh Gham lagaa huwaa hai har ik aadamee ke saath`

:yeh bazm-e-dehr aur yeh ibnaa-e-rozgaar:! (1)
hotaa hai kyaa zamaane meN aisaa sabh`ee ke saath`?

Khud se bh`ee aashnaa hooN, Khudaa-aashnaa bh`ee hooN
ik gum-rahee kaa daaGh hai is aagahee ke saath`!

:dekh`o mujh`e jo deedah-e-i'brat-nigaah ho: (2)
zinhaar tum nah dostee karnaa kisee ke saath`!

:Sarwar:! tumheN sitaayish-e-dunyaa kee fikr hai!
laazim hai shart-e-daad bh`ee kyaa shaai'ree ke saath`?
-------------------------
(1) yeh bazm-e-dehr aur yeh ibnaa-e-rozgaar
muddat huyee ziyaarat-e-insaaN kiYe huYe (Raz Chandpuri)

(2) dekh`o mujh`e jo deedah-e-i'brat-nigaah ho
meree suno jo gosh naseeHat-niyosh hai (Ghalib)