English اردو
jab kisee Soorat sar-e-meHfil nah shunvaayee huyee
jab kisee Soorat sar-e-meHfil nah shunvaayee huyeenauHa-Khwaan-e-aarzoo aahoN kee shehnaayee huyee
har qadam per aik Th`okar, her gh`aRee zeHmat nayee
raftah raftah, zindagee! tujh` se shanaasaayee huyee!
kyaa yeh kam hai kaargaah-e-shauq meN meraa kamaal?
baai'c-e-shuhrat tujh`e meree hee rusvaayee huyee!
ik :fareb-e-hastee-e-mauhoom, ik daam-e-Khayaal!:
is t^araH roz-e-azal meree paZeeraayee huyee!
reh-rav-e-raah-e-vafaa begaanah-e-manzil rahaa
aur ina'am-e-vafaa yeh aablah-paayee huyee!
kaun kis kaa saath` detaa hai maqaam-e-dard meN?
raaz-daaN koyee huwaa to meree tanhaayee huyee!
kyaa kahooN dunyaa kee Haalat, al-amaan-o-al-Hafeez!
ik gunah sab kee naz^ar meN meree Khud-raayee huyee!
kab talak koyee sune :Sarwar:! tiree yeh daastaaN?
baat yeh teree hai sau sau baar duhraayee huyee!
غزل
