English اردو
gh`aRee do gh`aRee kaa mazaa chaahiye
gh`aRee do gh`aRee kaa mazaa chaahiye:hameN aur dunyaa se kyaa chaahiye:?
Khud-aagaah ho jaayeN ge aap bh`ee
naz^ar chaahiye, aa,eena chaahiye!
hameN kab hai parvaa-e-der-o-Haram?
jo qiblah ho qiblah-numaa! chaahiye! (1)
binaa-e-Hayaat ek Harf-e-vafaa!
jo yeh hai to ph`ir aur kyaa chaahiye?
talaash us kee aisee to aasaaN naheeN
kaheeN to koyee naqsh-e-paa chaahiye!
miree her saHar, shab-gazeedah saHar!
mujh`e is se kyaa aur sivaa chaahiye?
junoon-e-muHabbat! tiraa shukriya!
ziyaadah mujh`e tujh` se kyaa chaahiye?
dh`araa kyaa hai :Sarwar: faqat baat meiN?
muHabbat meN dil bh`ee baRaa chaahiye!
---------------------------------------
(1) hai pare sarHad-e-idraak se apnaa masjood
qibleh ko ahl-e-naz^ar qiblah-numaa kehte haiN! (Ghalib)
غزل
