English اردو
Kaafir Kee Namaaz
Kaafir kee Namaaz:Rehmatullah SaaHeb chuskiyaaN le le kar chaaYe pee rahe th`e aur mustaqil apne narm aur meeTh`e lehjeh meN taqreer farmaa rahe th`e. yeh un kee teesree chaa ye kee piyaalee aur chauth`aa samosah th`aa. chaaYe kaa shauq un ko yooN bh`ee bohat th`aa. ph`ir safar meN to yeh shauq Z^aroorat ban gayaa th`aa. aaKhir galaa Saaf karne, muNh kaa mazah badalne aur badan garmaane ko koyee to Heela chaahiYe th`aa! chunaan.ch voh jahaaN tashreef le jaate un kee chaaYe ke i'laavah :waaYe: se bh`ee tavaaZ^o' hotee th`ee.
ham Hindustani aur Pakistani log to May aur June kee garmee meN bh`ee, jab.k aasmaan se aag barastee ho aur cheel aNdaa ch`oR rahee ho, apne mehmaan kee tavaaZ^o' garmaa-garm chaaYe se karne se baaz naheeN aate haiN. apne vatan-e-a'zeez meN to yeh keh leejiYe keh aur kuch` ziyaadah mayassar naheeN hai. lekin America jaise mulk meN bh`ee jahaaN ham aur doosree rusoomaat aur ta,a'SSubaat kaa pushtaarah saath` le kar aaYe haiN vahaaN chaaYe kaa shauq bhee "bar sabeel-e-taZkirah" saath` baaNdh` laaYe haiN. ph`ir bh`alaa Rehmatullah Saaheb kee Khaat^ir chaaYe se kyoN nah hotee?
Rehmatullah SaaHeb ek jamaa,a't ke saath` America tashreef laaYe th`e aur muKhtalif shehroN meN jaa jaa kar gh`aroN aur masjidoN meN apnee taqreer kaa tableeGhee jaadoo jagaayaa karte th`e. aisee jamaa,a'ateN yahaaN akcar aatee rehtee th`eeN aur kabh`ee masjidoN meN aur kabh`ee hamdard logoN ke gh`aroN meN qiyaam kiyaa kartee th`eeN. taqaareebeN hoteeN, maZhabee taqreereN kee jaateeN aur ph`ir log apnee apnee zindagiyoN se lag jaate.
America kee maSroof aur masheenee zindagee meN aisee meHfiloN kee ziyaadah ehmiyat naheeN th`ee. logoN ko is kaa to eHsaas th`aa keh un kee aulaad America ke be-dard maaHaul meN bigaR rahee thee aur apnee tehZeebee aur maZhabee rivaayaat se door hote jaa rahe th`e. magar is Soorat-e-Haal se nimaTne ke liYe jis meHnat aur qurbaanee kee Z^aroorat th`ee us ke liYe har shaKhS taiyyyaar naheeN th`aa.
chaNd log aise th`e jinhoN ne maZhab ko oRh`naa-bich`aunaa banaa rakh`aa th`aa varnah beshtar log masjid bh`ee jaate th`e, Eid aur jume' kee namaaz bh`ee paRh` lete th`e aur bachchoN ko ba-shart^-e-furSat Islamee schooloN meN bh`ee le jaate th`e, lekin is silsile meN Sirf ek Had tak hee tavajjuh ke qaa,el th`e. jab tak taqaareeb meN kh`aane-peene kaa intiz^aam nah hotaa, log vahaaN kam hee jaayaa karte th`e!
aaj Rehmatullah SaaHeb mere gh`ar meN mado'o th`e, aur un se milne ke li ye maiN ne kuch` dostoN ko bh`ee bulaa liyaa th`aa. in meN chand log Shakir Khan aur Sana Ullah jaise th`e jo a'adata" bulaaYe gaYe th`e. in logoN se meraa muddat kaa yaaraanah th`aa aur ham log ek doosre ke baGhair kisee meHfil kaa taSavvur naheeN kar sakte th`e.
chand dost aise th`e jo maSliHata" bulaaYe gaYe th`e. yeh log b.ilkul be-Z^arar aur bh`artee kee qism ke th`e, aur har meHfil meN Khaamoshee se baiTh` kar chaaYe-samose ke maze lete huYe sab logoN kee beHc sunte aur apne mushtarikah sar hilaate rehte th`e. Abdul Qadir aur Zafar Abbasi isee giroh se ta,a'lluq rakhte th`e.
in sab ke i'laava kuch` log aise th`e jo Z^zaroorata" bulaaYe gaye th`e. Nazir Warsee aur Jibrail Zakai is giroh meN bohat numaayaaN th`e. yeh log maZhabee mailaan rakh`te th`e, har taqreer nihaayat a'qeedat se sunte th`e aur aaKHir meN dua'a maaNg kar shaad-kaam gh`aroN ko vaapas jaate th`e. in ke baGhair har maZhabee taqreeb naa-kaamyaab samjh`ee jaatee th`ee.
Rehmatullah SaaHeb ne taqreer jaaree rakh`te huYe kahaa: "aap Ghaur kareN keh ab dunyaa meN Islam kaa bol-baalaa kyoN naheeN hai? chaaoroN t^araf Musalmaan Khwaar haiN. kehne ko dunyaa ke chaalees-pachaas mulk hamaare haiN lekin kaheeN in kee koyee i'zzat yaa tauqeer naheeN hai, koyee vaqaar naheeN hai! agar America teRh`ee nigaah se dekh` le to in kee siTTee gum ho jaatee hai, aur Europe vaale geedaR-bh`abkee de deN to gh`iggh`ee baNdh` jaatee hai! aur yeh Musalmaan voh log haiN jinhoN ne kabh`ee saaree dunyaa par Hukoomat kee th`ee."
ab un kee taqreer apne u'rooj par poNhach gayee th`ee. "maiN bataataa hooN keh is Khwaaree kee kyaa vajh hai! ham ne namaazeN ch`oR dee haiN, Quran se naat^aa toR liyaa hai aur dunyaa kee t^alab meN Allah aur us ke bataaYe huYe raaste se door ho gaye haiN. ph`ir aap hee kahiYe keh hamaaree falaaH kaise ho saktee hai? Z^aroorat is kee hai keh ham Allah ke bataaye huYe raaste par ek baar ph`ir vaapas jaayeN aur apnee namaazoN meN KhulooS paidaa kareN. aaiYe! aap sab mere saath` haath` uTh`aa kar dua'a keejiYe keh Allah hameN apne karam se navaaze aur hamaaree a'aqibat saNvaare!"
yeh keh kar unhoN ne haath` uTh`aa diYe aur saath` hee ham sab ne bh`ee "aameen" kaa vird ba-aavaaz-e-balaNd shuroo' kar diyaa. meree naz^ar Sana Ullah par paRee to dekh`aa keh voh pakoRee muNh meN liYe muskuraa rahaa th`aa. mujh` ko dekh` kar kambaKht ne mujh`e aaNkh` maaree aur ek pakoRee meree t^araf uch`aal dee. voh to kahiYe Khair huyee keh Rehmatullah SaaHeb kee aaNkh`eN shiddat-e-jaZbaat se baNd th`eeN varnah nah ma'loom kyaa hotaa.
dar-aSl maiN Sana Ullah ko is meHfil meN bulaane ke Haq meN naheeN th`aa. yeh HaZ^rat apnee Saaf-goyee ke liYe baRe badnaam th`e. kisee se lagee-lipTee naheeN rak`hte th`e aur jo dil meN hotaa Saaf muNh par keh dete th`e aur voh bh`ee kh`are alfaaz meN! Khud inkee begam in se naalaaN rehtee th`eeN magar in par kisee kee baat kaa koyee acar naheeN hotaa th`aa.
maiN ne begam se kahaa th`aa keh: "bha'ee! Sana Ullah se Dar lagtaa hai. agar bidak gaYe to koyee haNgaamah nah ho jaaYe."
lekin begam ne mujh` ko dilaasah dilaayaa th`aa: "ai hai! ab aise bh`ee voh naadaan naheeN haiN! maiN Rashidah bh`aabh`ee se Zikr kar dooN gee aur voh Sana bhaayee ko samjh`aa deN gee."
aur ab naz^ar aa rahaa th`aa keh hameshah kee t^araH aaj bh`ee Rashidah bh`aabh`ee kee baat kaa paanee Sana Ullah ke chikne gh`aRe se ph`isal gayaa th`aa aur voh pakoRee muNh meN liYe Rehmatullah SaaHeb ko "aa bail mujh`e maar" vaale andaaz meN dekh` rahe the`. udh`ar Rasheedah bh`aabh`ee deevaar se lagee karvaTeN le rahee th`eeN keh apne shauhar-e-naamdaar kee Rehmatullah Saaheb se a'n-qareeb hone vaalee muDbh`eR ko kaise rokeN.
Rehmatullah SaaHeb ne dua' maaNg kar idh`ar udh`ar faatiHaanah nigaaheN meHfil par dauRaayeeN to Sana Ullah par jaa kar ruk gayeeN. voh pakoRee ko jaldee se nigal jaane kee koshish meN Halaq se a'jeeb a'jeeb aavaazeN nikaal rahe th`e.
Rehmatullah SaaHeb ne un ko savvaliyah naz^roN se dekh`aa to Sana Ullah ne jaldee se pakoRee niglee aur chaaYe ke gh`ooNT se galaa tar karte huYe bole:
"jee! maiN aap se ek savaal pooch`naa chaahtaa hooN."
"Z^aroor bhaayee Z^aroor!", Rehmatullah SaaHeb ne muskuraa kar baRee Khandah-peshaanee se javaab diyaa.
Sana Ullah ne kahaa: "jee! yeh jo itnee lambee lambee dua'aeN aap maaNgte haiN, bh`alaa in se Haasil kyaa hotaa hai? maiN ne to kabh`ee koyee dua'a qubool hote naheeN dekh`ee!"
Rehmatullah SaaHeb ne unko baRe dukh` aur reHm se dekh` kar kahaa: "vaah Saaheb vaah! dua'aoN meN acar kyoN naheeN hotaa hai? bas Allah kaa karam chaahiYe. jo dua'a Kh`ulooS-e-dil se maaNgee jaaYe voh Z^aroor qubool hotee hai."
ab Sana Ullah ko taa,o aa chukaa th`aa. jh`illaa kar bole: "Saaheb! agar Sirf dua'a se kuch` huwaa kartaa to dunyaa meN koyee z^aalim zindah nah hotaa. yehee naheeN bal.k saaree dunyaa par ham hee ch`aaYe huYe hote, Saddam Husain kab kaa America ko shikast de chukaa hotaa, har maz^loom ko apnaa Haq mil chukaa hotaa aur har b-.aulaad shaKhS do-chaar bachchoN kaa baap hotaa. maiN to yeh dekh`taa hooN keh daulat-maNd aur z^aalim log apne z^ulm, daulat aur t^aaqat meN taraqqee kar rahe haiN aur Ghareeb Sirf dua'aeN maaNgte rehte haiN aur z^ulm sehte rehte haiN! aaKhir in z^aalimoN ko maz^loomoN kee bad-dua'a kyoN naheeN lagtee hai aur musalmaanoN kee dua'aoN se Khud unkaa Haal behtar kyoN naheeN hotaa hai?"
abh`ee Rehmatullah SaaHeb is lambee taqreer kaa javaab de bh`ee naheeN paaYe th`e keh Nazir Warsi bol uTh`e: "bhaayee is meN Allah kee maSliHat hai! voh z^aalimoN kee rassee daraaz kartaa hai, yahaaN tak keh voh usee rassee kaa ph`aNdaa apne gale meN Daal kar jahannum-raseed ho jaate haiN."
Sana Ullah ne Nazir SaaHeb ko gh`oor kar dekh`aa aur Ghurraa kar kahaa: "vaah Saaheb vaah! z^aalimoN kee rassee daraaz hotee rahe aur Ghareeb log piste raheN, yeh kon saa inSaaf hai? honaa to yeh chaahiYe keh z^aalim log jald se jald apne bure Hashr ko pohNcheN aur maz^loom kuch` achh`e din bh`ee dekh` leN."
ab mua'amialh saNgeen ho chalaa th`aa. Rehmatullah SsaaHeb ne kaNdh`e par paRe aNgoch`e se muNh poNch`te huYe kahaa: "dar-aSl aap ke savaal kaa javaab ek aur savaal ke javaab meN ch`upaa huwaa hai. ya'nee yeh keh aaKhir hamaaree dua'oN meN acar kyoN naheeN rahaa hai? hamaare buzurgoN kee dua'a qubool huwaa kartee th`ee lekin hamaaree dua'a qubool naheeN hotee hai! is kee vajh yeh hai keh ham Allah se door ho gaye haiN aur uskee naa-farmaanee par kamar baaNdh` lee hai. aap us ke ban jaaiYe, voh bh`ee aap kaa ho jaaYe gaa. ab bh`ee un logoN kee dua'a qubool hotee hai jo Allah se qareeb haiN. yeh maiN ne Khud apnee aaNkh`oN se dekh`aa hai!"
yeh javaab Sana Ullah par Hamle kaa Hukm rakh`taa th`aa aur unko Allah ke naa-farmaan baNdoN meN shaamil kar rahaa th`aa. Sana Ullah aise logoN meN se naheeN th`e jo is t^araH kaa Zaatee Hamlah bardaasht kar leN. unhoN ne is maKhmal meN lipTee huyee eeNT kaa javaab aisee hee maKhmal meiN lipTe huwe patth`ar kee Soorat meN loTaa diyaa:
"chaliYe maulaanaa! maiN to hooN hee Khudaa kaa naa-farmaan baNdah! aap kee dua'a to qubool hotee hogee! hameN bh`ee koyee aisaa vaaqia'h sunaa,iYe jis se ma'loom ho keh aap kee koyee dua'a qubool huyee aur us kaa Khaat^ir-Khwaah acar huwaa."
Rehmatullah SaaHeb ne pehle to is gunahgaar baNde ko reHm bh`aree naz^roN se dekh`aa jis kaa eemaaN mushtabah ho gayaa th`aa. ph`ir apne kaan pakaR kar unhoN ne apne gaaloN par do chaar th`appaR raseed kiYe, aur jalaal meN aakar bole:
"maiN baRaa gunaah-gaar aadamee hooN lekin Allah kee Zaat se maayoos naheeN hooN. maiN aap ko apnaa Zaatee vaaqia'h sunaataa hooN jis se aap ko ma'loom hogaa keh Allah kee i'baadat meN kaisee a'jeeb-o-Ghareeb t^aaqat hotee hai!"
unhoN ne pehloo badal kar aNgoch`e ke kone se aaNkh`oN ke goshe Saaf kiYe jahaaN se chand aaNsoo un ke eeemaan-o-a'qeedat kee taayeed meN tapakne ko taiyyar baiTh`e th`e. saaree meHfil ko jaise saaNp sooNgh` gayaa th`aa aur har shaKhS un kaa qiSSah sun,ne ko be-qaraar naz^ar aa rahaa th`aa.
"dekh`iYe abh`ee parsoN kee hee baat hai. maiN dopehr ko Hulen Mall vaqt-.guZaaree ke liYe chalaa gayaa th`aa. kuch` der gh`oom ph`ir kar vahaaN se nikal kar baahar aayaa aur gh`aRee par naz^ar paRee to Zuhr kee namaaz kaa vaqt ho chukaa th`aa. aNgoch`aa to mere kaNdhe` par rehtaa hee hai, usee ko parking lot meN zameen par bich`aa kar maiN ne niyyat baaNdh` lee aur namaaz paRh`ne lagaa. itne meN baarish shuroo' ho gayee aur maiN bh`eegne lagaa. usee vaqt ek kaafir American vahaaN se guZar rahaa th`aa. us ne jh`aT apnaa c`haataa mere ooper taan liyaa. Khud bh`eegtaa rahaa aur mujh` ko baarish se meHfooz rakkh`aa yahaaN tak keh maiN ne salaam ph`er kar namaaz Khatm kar lee."
"ph`ir maiN ne us se pooch`aa keh: "aaKhir tum ne aisaa kyoN kiyaa keh Khud bh`eegte rahe aur mujh` par c`haataa taane rahe?"
us ne javaab diyaa: "maiN ne dekh`aa keh aap i'baadat kar rahe haiN. mere dil ne gavaarah naheeN kiyaa keh aap bh`eegeN aur maiN Khusk rahooN aur apnee raah chalaa jaa,ooN."
yahaaN poNhach kar Rehmatullah SaaHeb kee aavaaz meN gh`an-garaj paidaa ho gayee: "to aap Ghaur farmaaiYe keh Allah ne namaaz meN itnee t^aaqat rakh`ee hai keh us ne ek kaafir ko majboor kiyaa keh voh mujh` jaise gunaah-gaar musalmaan par saayah kar le aur namaaz ke dauraan mujh` ko baarish se meHfooz^ rakh`e. yeh hai namaaz aur dua'a kee t^aaqat kaa ch`oTaa saa cuboot!"
abh`ee voh Khaamosh hee huYe th`e aur sab kee jaanib faatiHaanah naz^roN se dekh` hee rahe the` keh Khawaateen ke kone se kh`usur-ph`usur kee aavaaz aayee. maiN ne muR kar dekh`aa to meree baarah (12) saal kee beTee Sarah apnee maaN ke kaan meN kuch` keh rahee th`ee, aur maaN us kaa haath` dabaa kar Khaamosh rehne kaa ishaarah kar rahee th`ee.
mujh` se naz^ar milee to Sarah kuch` gha`braa see gayee. maiN ne baat banaane aur maaHaul ke tanaa,o ko kam karne ke liYe us se pooch`aa:
"kyoN beTee, kuch` pooch`naa chaahatee ho kyaa?"
"jee Papa! koyee KhaaS baat naheeN hai. bas yooN hee ammee se ek baat pooch` rahee th`ee", us ne gh`abraa kar javaab diyaa.
Rehmatullah SaaHheb ne baRee muHabbat se us kee t^araf dekh`aa aur muskuraa kar farmaaya keh: "kyaa baat hai beTee? ham bh`ee to suneN keh aap kyaa keh rahee haiN!"
Sarah ne aaNkh`eN jh`ukaa leeN aur qaaleen apne naaKhoon se kuredte hueYe dh`eemee aavaaz meN javaab diyaa:
"jee! maiN yeh keh rahee th`ee k mujh` ko to aisaa lagtaa hai jaise namaaz us kaafir kee ho gayee aur aap kee naheeN huyee!: