Articles | ادبی مضامین


English اردو


Nikaat-e-SuKhan #8:
Nikaat-e-SuKhan # 8: Ghalat^-ul-Awaam aur Ghalat^-u-.Aam

8.1: ibtidaa,iyah

aap ne :Ghalat^-u-.Aam: aur :Ghalat^-ul-Awaam: kee iSt^ilaaHaat to sunee hee ho Ngee. agar naheeN sunee haiN to ab sun leejiYe! is qist^ meN in se tafSeelee beHc kee jaaYe gee. in iSt^ilaaHaat ko isee maZ^moon meN aage chal kar vaazeH kar diyaa gayaa hai.

Nikaat-e-SuKhan ke is silsileh meN yahaaN Urdu shaa,iree ke un pehlu,oN kee jaanib tavajjuh dee jaa rahee hai jin kaa ta,alluq, arooz ke ilaavah, shaa,iree meN doosre naqaa,iS se hai. jis t^araH har fan meN kamaal HaaSil karne ke liYe kuch` paimaane banaaYe gaYe haiN, usee t^araH shaa,iree meN bh`ee kuch` paimaane aur ma'yaar mua,iyyan kiYe gaYe haiN jin meN muKhtalif iqsaam kee Ghalat^iyoN se apnaa daamaan paak rakh`naa bh`ee shaamil hai.

in aGhlaat^ kee nishaan-dehee baRee tafSeel se ulamaa-e-she'r-o-adab ne kar dee hai aur un ke muzmiraat aur rumooz se ham ko achh`ee t^araH aagaah bh`ee kar diyaa hai. hamaare liYe Z^arooree hai keh in naqaa,iS aur aGhlaat^ kee ma'loomaat HaaSil kareN aur ph`ir in kee raushanee meN apne kalaam kaa Khud hee iHtisaab kareN taa.k voh Saaf suth`raa aur Ghalat^iyoN se paak ho kar behtar ho aur qubool-e-aam HaaSil kare. is beHc meN yeh yaad rakh`naa Z^arooree hai keh har :Ghalat^-ul-aam: faseeH naheeN huwaa kartaa hai. chunaan.ch faseeH aur Ghair-faseeH aGhlaat^ kee pehchaan aur un kee iSlaaH kaa ilm bh`ee zer-e-naz^ar maZ^moon kaa ek maqSad hai.

yeh to z^aahir hai keh ek muKhtaSar maZ^moon meN mas,aleh ke har mumkinah pehloo kaa aHaat^ah karna naa-mumkin hai. ph`ir bh`ee jo kuch` mumkin ho sakaa hai voh pesh-e-Khidmat hai. ummeed hai keh aap is ko usee faraaKh-dilee se qubool kareN ge jo ab tak in maZ^aameen ke silsileh meN aap kee jaanib se dikh`aayee jaatee rahee hai.

8.2: Ghalat^ee-haaYe-maZ^aameeN

Mirza Ghalib kaa mash,hoor she'r hai keh :

Ghalat^ee-haaYe-maZ^aameeN mat pooch`
log naale ko rasaa baaNdh`te haiN!

Z^aahir hai keh yahaan :rasaa: ke ma'nee :voh jis kee poNhach apnee manzil tak ho: haiN. isee se lafz^ :rasaayee: ba-ma'nee :poNhach: banaa hai. ek SaaHeb nihaayat saNjeedagee se doosre miSre ko yooN paRhte haiN :

log naale ko rassaa band`hte haiN!

yanee woh rassaa ba-manee moTee rassee (rope) paRhte haiN!

is saadagee peh kaun nah mar jaaYe ai Khudaa?

isee t^araH ek meHfil-e-mushaa,irah meN ek shaa,ir ne lafz^ :Hashr: (qiyaamat) ko :Hashar: (sheen par zabar ke saath`) baaNdh`aa th`aa aur jh`oom jh`oom kar voh apnaa she'r Ghalat^ talaffuz^ ke saath` sunaa rahe th`e. doosree jaanib se un ke ek maddaaH un ke hee t^araH jh`oom jh`oom kar yooN daad de rahe th`e keh, waah SaaHeb, waah! kamaal kar diyaa aap ne! she'r sun kar maiN to bohat hee maKht^oot^ huwaa!

yeh z^aahir hai keh unhoN ne :meHz^ooz^: ba-manee :lut^f-andoz: ke nuqte paRhne meN Ghalat^ee kee th`ee aur us ko apnee daanist meN :maKht^oot^: samajh` baiThe th`e!
yeh micaaleN to aisee Ghalat^iyoN kee haiN jo logoN se un kee kam-ilmee yaa be-ilmee kee vajh se sarzad ho jaatee haiN, aur shaayad isee vajh se qaabil-e-mu,aafee bh`ee haiN. ph`ir bh`ee is meN to koyee shak naheeN hai keh aisee aGhlaat^ kaa Urdu nacr (prose) yaa naz^m meN istamaal kisee Soorat se qaabil-e-qubool mutasawwur naheeN ho saktaa hai.

is qism kee Ghalat^ioN ke ilaavah kuch` aise alfaaz^ bh`ee KhaaSee ta'daad meN maujood haiN jo aam t^aur se apne Ghalat^ talaffuz^ yaa Ghalat^ ma'nee meN mash,hoor-o-musta'mil haiN, aur in ko nah Sirf avaam aur kam paRhe-likh`e log hee be-jh`ijh`ak istamaal karte haiN bal.k bohat se :paRhe-likh`e: aSHaab bh`ee inheN istamaal karne meN koyee takalluf meHsoos naheeN karte haiN!

macala lafz^ mashkoor ko leejiYe. is ke luGhawee mat^lab hai :woh shaKhS jis kaa shukriyah adaa kiyaa jaaYe:. shukriyah adaa karne waalaa :shaakir, shukr-guZaar, mamnoon: vaGhairah kehlaataa hai. lekin ham dekh`te haiN keh log kisee kaa shukriyah adaa karte haiN to kehte haiN k maiN aap kaa bohat :mashkoor: hooN jo saraasar Ghalat^ hai! mashkoor to doosraa shaKhS hai jab.k woh Khud us ke :shukr-guZaar: haiN!

ba'Z^ auqaat aisee Ghalat^iyaaN maZ^Hakah-khez Soorat-e-Haal paidaa kar detee haiN. logoN ke naamoN meN aisee Ghalat^iaaN akcar naz^ar aatee haiN. Zel meN chaNd aise naam diYe jaa rahe haiN jin se Khud raaqim-u-Huroof kaa saabiqah paR chukaa hai. bohat mumkin hai keh in meN se kuch` aap ne bh`ee sune hoN!

Masjood Husain : woh shaKhS jis ko Husain (PaiGhambar-e-Islam ke nawaase) sajdah kareN!

yahaaN yeh aur aur arZ^ kartaa chalooN keh agar yeh naam apne ma'nee meN kuch` muKhtalif
bh`ee hotaa (jaise Sajid Husain ya'nee Husain ko sajdah karne waalaa) to bh`ee qat^a,ee naa-qaabil-e-qubool hotaa kyoN.k Islamee uSool ke liHaaz^ se Allah ke sivaa kisee aur ko sajdah karne kee b.ilkul ijaazat naheeN hai!

Ma'bood Ahmad : voh shaKhS jis kee Ahmad (yeh PaiGhambar-e-Islam kaa doosraa naam hai) ibaadat kare! (yeh naam to Islamee rivaayaat ke pesh-e-naz^ar aur bh`ee :gayaa-guZraa: hai!)

Shams ul Qamar : chaaNd kaa sooraj (subHan-Allah!)

Qamr un Nahaar : bh`aree dopahar kaa chaaNd! (yeh naam Bangladesh meN laRkiyoN ke liYe bohat aam hai.)

Abdul Sajid : aise shaKhS kaa baNdah yaa Ghulaam jo Khud Allah ko sajdah kartaa ho. (goyaa Ghulaam-e-GhulaamaaN!)

yeh mas,alah roz-marrah kee zindagee meN to aisaa aham naheeN hai aur kaam chal hee jaataa hai. magar jab baat she'r-o-adab kee ho to ph`ir zabaan-o-bayaan kee nazaakateN aur baareekiyaaN bohat aham aur in kaa iHtiraam naa-guzeer ho jaataa hai, neez qawaa,ed kee paabandee bh`ee usee qadar laazim ho jaatee hai. KhuSooSa naz^m meN zabaan-o-bayaan ke iltizaamaat aur taqaaZ^oN se daaman bachaanaa naa-mumkin ho jaataa hai aur ch`oTee see Ghalat^ee bh`ee baRee naz^ar aatee hai.

8.3: chand ist^ilaaHaat aur wazaaHateN

zer-e-naz^ar maZ^moon meN aise alfaaz^ aur fiqroN par guftgoo maqSood hai jo log yaa to be-ilmee meN aadata Ghalat^ istamaal karte haiN yaa jaante.boojh`te aise alfaaz^ ke istamaal meN takalluf meHsoos naheeN karte haiN. is silsileh meN do ist^ilaaHaat kee ta'reef maZ^moon
kee vazaaHat meN muaa,vin hoN gee :

(1) Ghalat^-ul-awaam : ya'nee voh alfaaz^, fiqre aur muHaavare jo avaam laa-ilmee yaa kam-ilmee kee vajh se Ghalat^ istamaal karte haiN. ahl-e-ilm ke liYe aise alfaaz^ aur fiqre she'r-o-adab meN qaabil-e-qubool naheeN haiN aur in se iHtiraaz Z^arooree samjh`aa jaataa hai.

(2) Ghalat^-ul-aam : ya'nee voh alfaaz^, fiqre aur muHaavare jin ke aam t^aur par Ghalat^ istamaal meN avaam ke ilaavah :paRhe-likh`e: log bh`ee shaamil haiN.
in alfaaz^-o-taraakeeb meN ba'Z^ aise bh`ee haiN jo :Ghalat^-ul-aam faseeH: kee ta'reef meN aate haiN, ya'nee yeh voh alfaaz^-o-taraakeeb haiN jo aam t^aur se apne Ghalat^ talaffuz^ yaa ma'nee meN musta'mil haiN lekin kacrat-e-istamaal yaa aSHaab-e-ilm-o-zabaan kee qubooliyat kee binaa par zabaan-o-bayaan meN daaKhil ho gaYe haiN aur ab darjah-e-faSaaHat par faa'iz haiN.
is marHaleh par :faSaaHat: kee ta'reef munaasib ma'loom hotee hai. :faSaaHat: kee mujmil ta'reef yeh hai keh :lafz^, fiqreh yaa muHaavireh ko is t^araH istamaal kiyaa jaaYe jaise mustanad ahl-e-zabaan likh`te yaa bolte haiN. Seemaab Akbarabadi ne apne ek she'r meN is ta'reef ko yooN bayaan kiyaa hai:

maiN faSeeH-ul-kalaam hooN Seemaab!
Saaf suth`raa kalaam hai meraa!

Z^aahir hai keh ahl-e-zabaan kaa t^areeqah naapne kaa koyee mustaqil paimaanah naheeN banaayaa jaa saktaa hai kyoN.k zabaan waqt, Haalaat waGhairah ke saath` badaltee rehtee hai. chunaan.ch :faSaaHat: kaa taSavvur aur alfaaz^ aur fiqroN kaa faSeeH yaa Ghair-faSeeH qaraar diyaa jaanaa bh`ee zamaaneh ke saath` badal saktaa hai aur badaltaa bh`ee hai.

8.4: Urdu meN Arabee aur Farsi alfaaz^

yeh baat kisee cuboot kee muHtaaj naheeN hai keh Urdu zabaan meN Arabee aur Farsi ke bohat se alfaaz^ musta'mil haiN. in alfaaz^ ko moTe-moTe teen giroHoN meN taqseem kiyaa jaa saktaa hai :

(1) aise alfaaz^ jin meN kisee qism kee lafz^ee yaa ma'navee tabdeelee naheeN kee gayee hai, ya'nee yeh Urdu meN aakar bh`ee Arabee yaa Farsi kee apnee aSl sahkl aur ma'nee meN musta'mil haiN. micaaleN dekh`iYe:
alam (=dukh`), raqam (=likh`naa), maslak (=t^areeqah), duniyaa, waGhairah.

aise sab alfaaz^ Urdu nazm^-o-nacr ke muKhtalif asaaleeb meN be-takalluf istamaal kiYe jaa sakte haiN.

(2) aise alfaaz^ jin meN kisee qism kee lafz^ee tabdeelee kar ke Urdu meN istamaal kiyaa jaataa hai. yeh tabdeelee a'raab (zabar, zer, pesh waGhairah) aur hai,at (shakl) donoN kee ho saktee hai, macala:

:Half: (=pledge) ko :Halaf:

:Harf: (=letter) ko :Haraf:

:deewaanah: ko :diwaanah:

keh diyaa jaataa hai. bohat se alfaaz^ kaa talaffuz badal diyaa gayaa hai, macala:

:mausim: (season) ko :mausam:

:mauqif: (stand or point of view) ko :mauqaf:

:mauqi': (occasion) ko :mauqa:

:maulid: (jaaYe-paidaa,ish) ko :maulad:

likh` diyaa jaataa hai. yeh Ghalat^ talaffuz is qadar aam ho gaYe haiN keh in ko :Ghalat^-ul-aam: kaa darjah mil gayaa hai. aap Khud hee sochiYe keh kitne log haiN jo yeh jaante bh`ee haiN keh aSl lafz^ :mausam: naheeN bal.k :mausim: hai? yehee Haal kuch` aur alfaaz^ kaa bh`ee hai. un kaa SaHeeH aur Ghalat^ talaffuz neeche diyaa jaa rahaa hai:

:saiyyid: = sardaar : ko umooma :saiyyad: kahaa jaataa hai

:jaiyyid: = zabar-dast : ko umooman :jaiyyad: kahaa jaataa hai.

:maiyyit: = dead body : ko umooman :maiyyat: keh dete haiN.

aise beshtar alfaaz^ bhee :Ghalat^-ul-aam faSeeH: kee ta'reef meN aate haiN.

(3) aise alfaaz^ jo Arabee aur Farsi se Urdu meN muntaqil hote huwe kisee ma'navee tabdeelee kaa shikaar ho gaYe haiN, ya'nee apnee aSl zabaan meN un ke ma'nee kuch` aur th`e lekin Urdu meN voh doosre ma'noN meN istamaal kiYe jaate haiN. chaNd micaaleN darj-e-Zel haiN:

:taraddud:, Arabee meN :aamad-o-raft: ke liYe bolaa jaataa hai aur Urdu meN :fikr-o-tashveesh: ke liYe.

:Khiffat:, Arabee meN :kisee cheez kaa halkaa honaa: ke ma'nee meN hai, aur Urdu meN :sharmindagee: ke liYe musta'mil hai.

:Ghurbat:, Arabee meN :vatan se dooree: ke liYe aur Urdu meN isee ma'nee ke ilaavah :muflisee: ke liYe bhee musta'mil hai.

:raa,igaaN:, Farsi meN :muft, be.daam: aur Urdu meN :bekaar: ke ma'noN meN liyaa jaataa hai.

:jahaaz:, Arabee meN :saaz-o-saamaan: aur Urdu meN :kashtee: ke liYe musta'mil hai.

:auzaar:, Arabee meN yeh jama' (plural) hai aur :bh`aaree bojh`: ke ma'nee rakh`taa hai lekin Urdu meN vaaHid aur jama' donoN t^araH musta'mil hai, neez :aalaat: ke ma'nee meN istamaal hotaa hai.

8.5: kuch` aur chaahiYe wus'at mire bayaaN ke liYe!

in teenoN iqsaam ke ilaavah Urdu meN bohat se alfaaz^ aise bh`ee haiN jo ahl-e-Urdu kee apnee iKhtiraa' aur eejaad haiN. unhoN ne Farsi aur Arabee ke qaa,idoN ko Hindustaanee alfaaz^ par istamaal kar ke naY^e alfaaz^ banaaye haiN jo aam t^aur se bole aur likh`e jaate haiN aur jin kee faSaaHat aur adab-o-she'r meN un ke istamaal ke javaaz yaa adam-javaaz kee jaanib koyee KhaaS tavajjuh naheeN kee jaatee hai.

isee t^araH saikRoN aise alfaaz^ bh`ee haiN jo Urdu kee Z^aroorat ke liHaaz^ se t^araash liYe gaYe haiN aur ab voh zabaan-o-adab kaa HiSSah ho kar reh gaYe haiN. in alfaaz^ se bh`ee akcar-o-beshtar ta,arruz naheeN kiyaa jaataa hai. aise alfaaz^ kee chand micaaleN neeche dee jaa rahee haiN:

(a) kuch` alfaaz^ Arabee aur Farsi ke alfaaz^ meN yaa-e-ma'roof (ch`oTee ye) lagaa kar nayee shakl meN Dh`aal liYe gaYe haiN jab.k aise naYe alfaaz^ kaa mat^lab apnee aSl shakl se muKhtalif naheeN hai, macala:

:Ghalat^: se :Ghalat^ee:

:taGhaaful: se :taGhaafulee:

:t^uGhyaan: se :t^uGhyaanee:

:adaa: se :adaayee:, vaGhaira.

Saaf z^aahir hai keh in alfaaz^ kee tabdeel-shudah SooratoN ke baGhair bh`ee kaam ba-Khoobee chal saktaa th`aa aur is :ijtiHaad: kee koyee KhaaS Z^aroorat naheeN th`ee.

(b) in se ziyaadah dilchasp voh alfaaz^ haiN jo ba-Zaat-e-Khud jama' (plural) haiN lekin avaam ph`ir bh`ee un meN kabh`ee kabh`ee :waw: aur :noon-e-Ghunaah: milaa kar :jama' kee jama': banaane se baaz naheeN aate haiN, macala:

:aGhyaar: se :aGhyaaroN:

:kuffaar: se :kuffaroN:

:arvaaH: se :arvaaHoN:

:a'maal: se :a'maaloN:

:aacaar: se :aacaaroN:, vaGhaira.

Z^aahir hai keh yeh saare alfaaz^ Ghair.faSeeH haiN aur in kaa she'r-o-adab meN istaimaal naa-qaabil-e-qubool hai.

(c) Arabee meN alfaaz^ kee jama' banaane kaa ek t^areeqa yeh hai keh lafz^ ke aaKhir meN :alif, tey: baRhaa dete haiN. Urdu vaaloN ne in se milte julte bohat se alfaaz^ isee t^areeqe ko istamaal karte huwe maqaamee alfaaz^ se taraash liYe haiN aur ab voh zabaaN-zad-e-aam-o-KhaaS ho kar reh gaYe haiN, macala:

:jaageer: se :jaageeraat:

:bohat: se :bohtaat:

:baaGh: se :baaGhaat:

:deh: se :dehaat:

:jahaaz: se :jahaazaat:

:lawaazim: se :lawaazimaat:

:eHkaam: se :eHkaamaat: waGhaira.

(d) bohat se alfaaz^ voh haiN jo :chooN-chooN kaa murabba: kahe jaa sakte haiN aur hamaaree Z^arooratoN ke liHaaz^ se banaa liYe gaYe haiN. in kaa ek HiSSah kabh`ee kabh`ee Arabee yaa Farsi hotaa hai aur doosraa :desi:. ham aap in ko rozaana hee be-takalluf istamaal karte haiN aur in meN se akcar sher-o-adab kaa HiSSah bh`ee ban gaYe haiN. chand micaaleN dekh`iye:

lafz^ee, Harfee, gh`amanDee, peshagee, josheelaa, t^araHdaar, waZ^a'-daar, samajh`daar, taabe'daar, shauqeen, buzdilaa, aSraanah (seh pehar kaa naashtah), ishaa,iyah (raat kaa kh`aanaa), Khushaamadee, vaGhaira.

(e) kuch` alfaaz^ aise bh`ee haiN jo Farsi yaa Arabee ke t^areeqoN par mabnee qiyaas se banaa liYe gaYe haiN aur ab aam t^aur par musta'mil haiN. yeh Z^aroor hai keh ahl-e-zabaan in ko istamaal karte huwe iHtiyaat^ barat,te haiN keh Arabee aur Farsi taraakeeb meN inehN nah istamaal kiyaa jaaYe, lekin is kee paabandee bh`ee saKhtee se naheeN hotee hai.

alfaaz^ ke istamaal kaa aam uSool yeh hai keh she'r-o-adab meN :Ghalat^-ul-avaam: alfaaz^, fiqroN aur muHaaviroN se mut^laq parhez kiyaa jaaYe lekin :Ghalat^-ul-aam faSeeH: alfaaz^ ke istamaal meN koyee muZ^aa,iqah naheeN hai, jab.k :Ghalat^-ul-aam Ghair-faSeeH: (macala
:mashkoor: ba-ma'nee :mamnoon:) ma'yoob aur qaabil-e-tark hai.

8.5: Khudaa se kyaa sitam-o-jaur-e-naaKhudaa kahiYe!

is saaree beHc kaa ek nihaayat dilchasp pehloo yeh hai keh bohat se :Ghalat^-ul-avaam: aur :Ghalat^-ul-aam Ghair-faSeeH: alfaaz^ asaatiZah ke yahaaN naz^ar aa jaate haiN. in ko dekh` kar Hairat hotee hai keh aisaa kyoN kiyaa gayaa hai. ba'Z^ maqaamaat par aisee faash Ghalat^ee naz^ar aatee hai keh asaatiZah ke maqaam kaa liHaaz^ karte huwe sivaaYe Khaamoshee ke koyee aur chaarah naheeN reh jaataa hai. Zel meN chand micaaleN dee jaa rahee haiN jo Molana Hasrat Mohani kee kitaab :Nikaat-e-suKhan: se lee gayee haiN:

(1) Khudaa-e-suKhan Mir Taqi Mir ko dekh1iye keh kyaa kehte haiN:

taaboot miraa der uTh`aa us kee galee se
icbaat huwaa jurm-e-muHabbat kaa isee se

in t^uyoroN se hooN maiN bh`ee agar aatee hai Sabaa
baaGh ke chaaroN t^araf aag lagaa dete haiN

:icbaat huwaa: ya'nee :caabit huwaa: avaam kaa muHaavirah hai. isee t^araH :t^uyoor: jama' hai :t^aa,ir: (parindah) kee. Chunaan.ch :t^uyoroN: kehnaa isee t^araH Ghalat^ aur ma'yoob hai jaise :sho,araaoN: (bohat se shaa,ir), yaa :ulamaa,oN: (bohat se aalim) likh`naa!

isee t^araH dekh`iye Sauda kyaa keh rahe haiN!

too to is ma'nee se kyaa shaad huwaa hove gaa
pooch`iYe ahl-e-diloN se keh voh kyaa karte haiN!

tujh` ko faqat^ chiraaGh-e-shaam, DhooNDhe naheeN hai gh`ar-ba-gh`ar
ph`irtee hai baad-e-SubHgaah, Khaanah-ba-Khaanah, koo-ba-koo!

is chashm kaa Ghamzah jo kare qatl-e-do-aalam
goshe ko nigah ke naheeN parvaah kisee kee

pehle she'r meN :ahl-e-dil: kee jagah :ahl-e-diloN: hai jo b.ilkul avaamee zabaan hai aur isee liYe Ghalat^ hai!

doosre she'r meN :gh`ar gh`ar: kee jagah :gh`ar-ba-gh`ar: baaNdh`aa hai. yeh bh`ee Ghalat^-ul-avaam hai aur naa-qaabil-e-qubool maanaa jaataa hai.

teesre she'r meN :parvaah: likh`aa gayaa hai jab.k aSl lafz^ :parvaa: hai (baGhair :hey: ke!). yeh bh`ee avaam kee zabaan hai aur ahl-e-zabaan is se parhez karte haiN.

Ghalib kehte haiN keh:

nah sitaayish kee tamannaa, nah Sileh kee parvaa
gar naheeN haiN mire ash,aar meN ma'nee, nah sahee!

Ghalat^-ul-avaam kee chand aur micaaleN HaaZ^ir-e-Khidmat haiN:

nah ph`ool ab is qadar bulbul guloN kee aashnaayee par
keh ab ahle-e-chaman haNste haiN teree aHmaqaayee par! (Shah Hatim)

maiN dekh`aa Khaak th`aa baat^in meN jooN chaub-e-kiram-Khurdah
ba-z^aahir garcheh naz^roN meN tiraa beemaar behtar th`aa (Qa,im Chandpuri)

bas kar sitam-eejaad keh aalam meN qiyaamat
barpaa hai tire dast-e-taz^allum se ziyaadah (Shah Naseer)

daaman-e-gul se bh`ee halkaa vazan-e-daaman hai
is pe bh`ee baar use ik shikan-e-daaman hai (Tanveer Dehlavi)

jaZbah-e-dil ne mire kuch` to karee hai taaceer
ph`ir huyee un kee jo alt^aaf-o-inaayaat shuroo' (Tanveer Dehlavi)

naz^ar-e-lut^f-o-karam aur hai aGhyaaroN par
z^ulm kee aur nigaaheN haiN vafaa-daaroN per (Ashiq Dehlavi)

pehlee micaal meN Shah Hatim jaise ustaad-e-fan :Humq: (aHmaq-pan) kee jagah :aHmaqaayee: likh` rahe haiN jo b.ilkul avaamee lafz^ hai aur saraasar Ghair faSeeH!
doosre she'r meN Qa,im Chandpuri :kiram KhurdaH: baaNdh` rahe haiN jab.k SaHeeH lafz^ :kirm Khurdah: (ya'nee :jis ko keeRe khaa gaye hoN:) hai! yeh bh`ee Ghalat^-ul-avaam hai aur is liYe ma'yoob!

Shah Naseer :z^ulm: kee bajaaYe :taz^allum: likh`te haiN jo Ghalat^ hai.

is se aage jaaiYe to Tanveer Dehlavi :vazan: (:ze: par zabar ke saath`) likh` rahe haiN HaalaaN.k SaHeeH lafz^ :vazn: (:ze: saakin) hai! agle she'r meN

Tanveer :kee: kee bajaaYe :karee: likh`te haiN aur yeh :Ghalat^-ul-awaam: hai.

Ashiq Dehlavi :aGhyaar: kee jagah :aGhyaaroN: naz^m karte haiN jo Ghalat^-ul-avaam hai aur Ghair-faSeeH hee naheeN bal.k naa-qaabil-e-qubool bh`ee hai!

is qism kee Ghalat^iyaaN ch`oTe shaa,iroN se sarzad ho jaaYen to ek baat hai lekin jab asaatiZah is laGhzish ke murtakib hoN to t^araH t^araH ke Khayaalaat dil meN aate haiN. dekh`iye aur chand sho,raaa ba-shamool-e-Mirza Khan Dagh Dehlavi, kyaa kehte haiN:

a'daa ke ta,ashshuq meN sabh`ee kuch` hai gaNvaayaa
pehlaa saa voh andaaz-o-adaa naaz kahaaN hai (Ashiq Dehlavi)

shakl-e-aSlee se kabh`ee raNg tabaddul nah huwaa
Ghunchah gul ho ke kh`ilaa, gul kabh`ee bulbul nah huwaa (Dagh Dehlavi)

pehle she'r meN :ishq: kee jagah :ta,ashshuq: aur doosre meN :tabdeelee: kee bajaaYe :tabaddul: avaam kee zabaan hai. Dagh ke is she'r par Hasrat Mohani ne yooN tanqeed kee hai:

:tabdeel: ke bajaaYe :tabaddul: juhalaa kee zabaan hai. ta,ajjub hai keh Dagh ne is ko kyoN-kar jaa,iz kiyaa!:

Hafiz Jaunpuri ke do ash,aar aur sun leejiYe :

yeh sunte th`e tark-e-muHabbat hai mushkil
ba-jabra magar us ko bh`ee kar ke dekh`aa (Hafiz Jaunpuri)

:ba-jabra: ko :jabra: kee jagah likh`naa kisee t^araH SaHeeH naheeN hai!

ajal kee be-ruKhee ne maar Daalaa
t^veel-e-zindagee ne maar Daalaa (Hafiz Jaunpuri)

"t^ool-e-zindagee: SaHeeH hai aur :t^aveel-e-zindagee: saraasar Ghalat^-ul-avaam!

8.6: iKhtitaamiyah

darj-e-baalaa beHc-o-tamHeeS se Ghalat^-ul-aam, Ghalat^-ul-aam-faSeeH aur Ghalat^-ul-awaam ke farq kee vazaaHat maqSood hai. is farq ko samajh`naa aur ph`ir is kaa apnee shaa,iree meN istamaal karnaa taKhleeqaat ke Husn aur ma'yaar donoN meN iZ^aafeh kaa baa,ic ho gaa aur unheN Ghalat^yoN se paak rakh`ne meN mu,aavin bh`ee ho gaa. agar asaatiZ^ah ke yahaaN ba'Z^ auqaat aisee hee koyee Ghalat^e naz^ar aa jaaYe to us kee taqleed karnaa aur Ghalat^-ul-awaam ko SaHeeH samajh` lene kaa javaaz naheeN hai. asaatiZah kee taqleed kaa mat^lab un se sarzad hone vaalee aGhlaat^ kee bh`ee pairavee karnaa hargiz naheeN hai.
********************