English اردو
sab miT gaYe maaNge hai magar teree naz^ar aur
sab miT gaYe maaNge hai magar teree naz^ar aurab laaYeN kahaaN se bataa dil aur, jigar aur?
kam Khaak-e-Ghareebaan-e-muHabbat ko nah jaano
uTTheN ge isee Khaak se kal Khaak-ba-sar aur
har Zarreh meN bas ek hee Zarrah naz^ar aaYe
gar chashm-e-tamaashaa ko mile Husn-e-naz^ar aur
kab baiTh sake manzil-e-hastee ko poNhach kar
aage jo baRaa us se hai woh ek safar aur!
duniyaa meN muHabbat kee kamee hai to balaa se
aabaad-e-muHabbat kareN aa! shaam-o-saHar aur
kyaa tum ko takalluf hai miree chaarahgaree meN?
ik teer-e-naz^ar, teer-e-naz^ar, teer-e-naz^ar aur!
yeh kyaa keh faqat^ Khaar hee qismat meN likhe haiN?
:ai Khaanah-barandaaz-e-chaman! kuchh to idhar aur:
"Sarwar" kee kaTee kis t^araH aaKhir shab-e-hijraaN?
kuchh too hee bataa qiSSah-e-Gham deedah-e-tar! aur!