English اردو
laboN par muhr-e-Khaamoshee lagee hai
diloN meN band haiN kitne fasaane!
is baab meN woh afsaane pesh kiYe gaYe haiN jo mere majmooe' :Teesraa Haath: kee shakl meN shaa,e' ho chuke haiN. in ke i'laavah chand afsaane aise bh`ee haiN jo majmooe' meN to naheeN haiN lekin Hind-o-Pak ke muKhtalif risaaloN meN shaa,e' ho kar qubool-e-a'am HaaSil kar chuke haiN.
meree afsaanah-nigaaree kee taareeKh bohat muKhtaSar hai. kuch` hee a'rSah qabl ek risaale meN afsaane paRh`te huwe Khayaal aayaa keh kyoN nah maiN bh`ee is fan meN apnee qismat aazmaa,ooN! chunaan.ch apne Zaatee mushaahidaat aur tajribaat ko bunyaad banaa kar maiN ne afsaanoN kaa taanaa-baanaa bun,naa shuroo' kar diyaa aur nateejah aap ke saamne hai! in afsaanoN meN se har ek yaa to meree zindagee ke kisee Haadiceh se muta,a'lliq hai yaa kisee qareebee dost ke tajribe par mabnee hai. ummeed hai ke Haqeeqat-nigaaree ke aa,eenah-daar yeh afsaane aap ko pasand aaYeN ge. aap se iltimaas hai keh :KitaabeN: (Books) ke baab meN :Teesraa Haath: par likh`e gaYe deebaachoN ko paRh` leejiYe gaa taa.k in afsaanoN kaa pas-manz^ar aur takneek aap par mazeed z^aahir ho jaaYeN. shukriyah!
Sarwar A. Raz "Sarwar"