English اردو
maiN nazm^ kam hee kehtaa hooN. mizaaja" maiN Ghazal kaa shaai'r hooN. agar kabh`ee koyee nazm kahee bh`ee hai to woh kisee waqtee jaZbeh ke teHt kahee hai. beshtar manz^oomaat Zaatee aur rasmee qism kee haiN, macala" woh tehnaiyyatee naz^meN jo maiN ne dostoN aur a'zeezoN kee farmaa,ish par kisee KhaaS samaajee mauqe' par kahee haiN. in meN woh manz^oom ta,a'arufee qit^a'at shaamil naheeN haiN jo maiN ne maqaamee mushaai'roN kee niz^aamat kee Zimmedaaree nibh`aatr huYe shoa'raa ko meHfil meN muta,a'arif karaane kee Kaat^ir kahe haiN. in ta,a'aruf-naamoN meN se bohat se Hind-o-Pak ke risaaloN meN shaa,e' ho chuke haiN.
yahaaN maiN darj-e-baalaa manz^oomaat kaa intiKhaab pesh kar rahaa hooN. ummeed hai keh aap ko pasand aaYe gaa. shukriyah!