English اردو
maiN America meN muqeem hooN jahaaN Urdu ke teHqeeqee wasaa,il kaa mukammal fuqdaan hai. nah to yahaaN kitaabeN, risaale aur kutub-Khaane hee mayassar haiN aur nah hee aise aSHaab-e-i'lm haiN jin se istifaadah kiyaa jaa sake. chunaan.ch yahaaN adabee aur she'ree teHqeeq naa-mumkin naheeN to intihaayee mushkil to hai hee! ph`ir bh`ee jo kuch` mujh` se ho sakaa hai woh karne kee koshish kee hai aur is baab ke maZ^aameen isee koshish kaa nateejah haiN. is teHqeeq kaa ek nateejah :Baaqiyaat-e-Raz: bh`ee hai. is kitaab meN waalid marHoom HaZ^rat "Raz" Chandpuri kee shaai'ree kaa mufaSSil jaa,izah liyaa gayaa hai. aap is kitaab ko :Books: section meN dekh` sakte haiN. ummeed hai keh meree yeh naacheez koshish aap kee maayoosee kaa baa,ic naheeN ho gee.
1. Nikaat-e-SuKhan #6: 2. shaairee kaa ek naqS :eet^aa: 3. Roman Urdu