English اردو
ho gayee me'raaj-e-i'shq-o-a'ashiqee HaaSil mujhe
ho gayee me'raaj-e-i'shq-o-a'ashiqee HaaSil hameN:pehle dard-e-dil milaa, ba'd us ke daaGh-e-dil hameN!:
bandagaan-e-aarzoo meN kar liyaa shaamil hameN
aap ne, shukr-e-Khudaa! samjhaa kisee qaabil hameN!
kam-nigaahee, taNg-daamaanee, wufoor-e-aarzoo
zndagee! teree t^lab meN yeh huwaa HaaSil hameN!
is qadar aasoodah-e-raah-e-muHabbat ho gaYe
DhooNDtee phirtee hai har soo shorish-e-manzil hameN
lamHah lamHah, leHz^ah leHz^eh, woh qareeb aate gaYe
raftah raftah kar gaYe Khud aaps se Ghaafil hameN!
ban gayaa Khud apnaa HaaSil a'alam-e-Khudraftagee
dekhtee hee reh gayee dunyaa-e-aab-o-gil hameN
deedah-e-beenaa, dil-e-Khushkaam, fikr-e-beniyaaz
ab koyee mushkil naz^ar aatee naheeN mushkil hameN!
Khud ko hee taareeKh duhraatee hai jab "Sarwar" to phir
kyoN naz^ar aayaa naheeN maaZ^ee meN mustaqbil hameN?