English اردو
ho chukeeN bazm-e-t^arab, raqS-e-sharar kee baateN
ho chukeeN bazm-e-t^arab, raqS-e-sharar kee baateNbeTh` kar aa,o kareN deedah-e-tar kee baateN
ham pe guZree haiN voh duzdeedah-naz^ar kee baateN
ham se koyee nah kare shams-o-qamar kee baateN
zindagee! maiN tujh`e mar mar ke kiYe jaataa hooN!
aur le beTh`ee hai too jaane kidh`ar kee baateN!
kar diyaa qatl faqeehaan-e-Haram ne mujh` ko
log karte rahe andaaz-e-naz^ar kee baateN
ham pe guZre haiN Gham-e-dehr ke saare qiSSe
ham se pooch`o rasan-o-daar kee, sar kee baateN!
manzil-e-shauq hee gar haath` nah aayee ham ko
laakh` duhraaye koyee lut^f-e-safar kee baateN
ggar naheeN Khauf-e-Khudaa, Khauf-e-zamaanah to hai!
:gh`ar se baahar bh`ee nikal jaatee haiN gh`ar kee baateN:
kaun suntaa hai tiree harzah-saraayee :Sarwar:?
too sunaataa hai kise ahl-e-hunar kee baateN?