English اردو
aadh`ee raat kee ghanTee
yeh aadh`ee raat kee ghanTee, yeh kaaNptee aawaazyeh dil kee chor, lab-e-munfa,i'l kee yeh Ghamaaz
jh`ijh`aktee juNbhish-e-aNgusht, garmee-e-ruKhsaar
Hareem-e-shauq ke dar kar gayeeN yeh kitne baaz
dabee dabee see haNsee kaise kaise kh`ol gayee
nigaah-e-munfa,i'l-o-sharmageeN ke saare raaz
koyee Ghazal meN kare jaise dard-e-dil kaa bayaaN
kh`anakte naachte gh`uNgh`roo pah saayah-e-pashwaaz
ch`alak ke girne pah aamaadah ashk-e-naumeedee
kahaaN kaa i'shwah-o-andaaz aur kaisaa niyaaz
sukoot-e-shab agar be-naam HasratoN kee gooNj
shikast-e-shab Khud apnee shikast kee aawaaz
chaman ko Dh`ooNDh`ne nikle naseem-e-aawaarah
Khud apne naGhmeh se jaise bich`aR gayaa ho saaz
maiN ek shaa,i'r-e-befaiZ^ aur naakaarah
hazaar raNgee-e-naaz-o-niyaaz kyaa jaanooN?
koyee diwaanah mujh`e jaane koyee aawaarah
shumaar-e-sabHa-e-Sad-soz-o-saaz kyaa jaanooN?
idh`ar udh`ar kee yeh baateN, fasaane dunyaa ke
jo aadh`ee raat kee ghanTee sunaaYe jaatee hai
Khud apnee jur,at-benaam se yeh gh`abraa kar
kachoke dil peh mire kyoN lagaaYe jaatee hai?
kare to kyaa kare shaa,i'r bhalaa kahaaN jaaYe?
nah meraa nut^q rasaa aur nah t^aaqat-e-parwaaz
dua'a hai manzil-e-maqSood ko poNhach jaaYe
yeh aadh`ee raat kee ghanTee, yah kaaNptee aawaaz!