English اردو
BEKASEE
BEKASEEsochtaa hooN, dil-e-naakaam! tiraa kyaa ho gaa?
aa,eeneh meN kabhee Soorat jo naz^ar aatee hai
zindagee aaNkh milaate huwe sharmaatee hai
mujh peh us aan qiyaamat see guZar jaatee hai
waqt kee nabZ^ phaRaktee hai, Thehar jaatee hai
dam nikaltaa hai, t^abee,a't miree ghabraatee hai
aur ik yaad miraa peechhaa kiYe jaatee hai
muR ke dekhooN to jahaaN par bhee naz^ar jaatee hai
waqt kee aahanee deewaar se Takraatee hai
Soorat-e-Hasrat-e-benaam woh lauT aatee hai!
har ghaRee apne hee saayeh se maiN Dar jaataa hooN
Khud ko kitnaa hee sameTooN, maiN bikhar jaataa hooN!
"baiTh jaataa hooN jahaaN chhaa,oN ghanee hotee hai
haaYe! kyaa cheez Ghareeb-ul-wat^anee hotee hai"