English اردو
Waaqia'aatee Shaa,i'ree Kyaa Hai?
WAAQI,A'ATEE SHAA'IREE KYAA HAI?TAMHEED:
kuch` a'rSeh qabl :internet: par :waaqia'atee shaa,i'ree: (ya'nee aisee shaa,i'ree jo maujoodah daur ke badalte huwe insaanee masaa,il aur badaltee huyee dunyaa kee tarjumaanee kare) aur :rasoomiyaatee shaa,i'ree: (ya'nee riwaayatee shaa,i'ree) par beHc kaa ek dilchasp silsilah chalaa th`aa aur ph`ir (jaisaa keh taqreeba" har aisee beHc ke saath` hotaa hai!) kisee nateejeh par poNhche baGhair Khatm bh`ee ho gayaa th`aa. is beHc meN Urdu Ghazal par hee ziyaadah guftgoo kee gayee th`ee aur baaqee doosree aSnaaf kee jaanib tawajjuh naheeN kee gayee th`ee. kam se kam is beHc se yeh to Z^aroor huwaa th`aa keh sab par nayee soch ke kuch` darwaaze kh`ul gaYe th`e. yeh maZ^moon isee beHc kaa HiSSah hai.
yahaaN is beHc kaa aaGhaaz keh :waaqi,a'atee shaa,i'ree kyaa hai?: KHud shaa'iree kee ta'reef se karnaa munaasib maloom hotaa hai taa.k baat Saaf ho jaaYe. is ke ba'd :waaqi,a'atee: aur :rasoomiyaatee: shaa,i'ree ke farq aur KhuSooSiyaat ko samajh`naa aasaan ho gaa.
(1) "rasoomiyaatee shaa'iree" kee ta'reef Munshi Brij Narain :Chakbast: ke is sher se behtar naheeN ho saktee hai:
shaa'iree kyaa hai? dilee jazbaat kaa izhaar hai
dil agar bekaar hai, to shaa'iree bekaar hai!
goyaa insaanee jaZbaat, Khayaalaat aur eHsaasaat ke dilpaZeer iz^haar kaa naam hee shaa,i'ree hai. is iz^haar ke saaNche, aSnaaf-e-suKhan, usloob aur uSool hamaare buzurgoN ne bohat meHnat aur dilsozee se murattab kiYe haiN aur aaj bh`ee riwaayatee sho,a'raa in kee hee raushanee meN daad-e-suKhan de rahe haiN.
(2) "waaqi,a'atee shaa'iree" kee ta'reef kaa mas,alah Zaraa mushkil aur tafseel t^alab hai. bohat talaash ke baawujood is mauZoo' par koyee aisaa she'r naheeN mil sakaa hai jis se is kee mukammal aur SaHeeH ta'reef ho sake. Khayaal hai keh insaanee zindagee ke waaqi,a'at-o-masaa,il, :roTee kapRaa aur makaan:, mazdoor aur sarmaayahdaar kee kashmakash, insaan ke :zameenee: masaa,il (jaNg, z^aalimoN ke haath`oN kamzoroN par ziyaaditee, ma,eeshat ke wasaa,il par qaumoN kee aawezish waGhairah kaa iz^haar :waaqi,a'atee shaa,i'ree: kehlaaYe gaa. mash,hoor waaqi,a'atee shaa,i'r Zafar Iqbal kaa ek she'r is silsileh meN ista'maal kiyaa jaa saktaa hai kyoN.k is meN hamaaree talaash kaa Hawaalah naz^ar aataa hai:
yeh kashf sab ke liye a'am bh`ee naheeN hotaa
agar.ch shaa,i'ree ilhaam bh`ee naheeN hotaa!
ham yahaaN :hotaa:/:hotee: kee beHc meN naheeN paReN ge! kam se kam is she'r se yeh to ma'loom ho jaataa hai keh shaa,i'ree (aur chooN.k Zafar Iqbal waaqi,a'atee shaa,i'ree ke imaam haiN is liYe shaa,i'ree se :waaqi,a'atee shaa,i'ree: muraad lenaa munaasib ma'loom hotaa hai) kashf kee t^araH kee koyee cheez hai. albattah yeh ilhaam hargiz naheeN hai aur yeh kashf Allah ke KhaaS KhaaS bandoN par hee naazil hotaa hai. lekin yeh to ilhaam ke saath` bh`ee hotaa hai. to ph`ir is she'r kee taaweel kyaa ho gee? wallaah-o-a'lam!
oopar bayaan ho chukaa hai keh is maZ^moon meN hamaaraa mauZ^oo' Ghazal hai. is Hawaaleh se Hindustan ke mash,hooN risaaleh :Isti,a'areh: (New Delkhi, India, June/July 2000) ke chand iqtibaasaat pesh kiYe jaa sakte haiN. is kee do wujoohaat haiN. ek to yeh keh yeh risaalah waaqi,a'atee shaa,i'ree kaa a'lam-bardaar hai. doosre yeh keh is meN ek goshah waaqi,a'atee shaa,i'ree Zafar Iqbal ke liYe muKhtaS kar diyaa gayaa hai. ham is gosheh se KhaaS t^aur se istifaadah kareN ge.
yeh iqtibaasaat kaafe t^aweel haiN aur utne hee dilchasp bh`ee! in ko maiN yahaaN ba-Sad-ikraah pesh kar rahaa hooN. in ke mashmoolaat meree aur aap kee zabaan kaa HiSSah naheeN haiN aur har muhaZZab meHfil meN in ko qaabil-e-maZammat kahaa jaaYe gaa. lekin baat Saaf karne ke liYe in ko yahaaN denaa laazimee hai. maZkoorah iqtibaasaat darj-e-Zel haiN:
"Ghazal chaar qism kee hotee hai:
(1) Hastinee: yeh sharaab, kabaab kee rasiyaa, bad-zubaan, bad-kirdaar, bad-Khoo hotee hai. ise nah to apnee i'zzat kaa paas hotaa hai nah doosroN kee takreem kaa Khayaal. is kaa qad yaa to bohat lambaa hotaa hai yaa bohat Ch`oTaa. is kaa jism bh`ee bohat bh`aaree yaa dublaa hotaa hai. hoNT moTe hote haiN. jinsee aavaaragee kee har waqt shikaar rehtee hai. jinsee a'Z^aa kaa Zikr akcar kartee rehtee hai. is ke paseeneh meN badboo hotee hai aur jism se sharaab kee gaNdh` aatee hai. akcar kaRwee, kh`aTTee, namkeen, neez Zaa,iqeh waalee cheezeN shauq se kh`aatee hai. yeh bohat ai'yyaar aur makkaar hotee hai. is se kisee ko bh`ee wafaa kee ummeed naheeN. aisee :hastinee: Ghazal hamaare e'hd-e-jadeed meN sab se ziyaadah rachaayee jaatee hai.
(2) SaNkh`inee: mardoN se haNs haNs kar baat karne meN ise koyee Hijaab naheeN. be-wafaayee is kee sarisht meN hai. a'ashiqoN kaa Halaqah baRh`aane ke liYe har t^araH ke naaz-o-Ghamzah-o-i'shvah kaa ista'maal kartee hai. jinsee milaap aur apnee ta'reef sun,ne ke liYe be-qaraar rehtee hai. yeh akcar gaNdee rehtee hai. jh`ooT boltee hai. baRee makkaar aur farebee hotee hai. jaldee ro detee hai, jaldee haNsne lagtee hai. is ke chalne ke aNdaaz meN be-Hayaa mastee hotee hai, kyoN.k yeh sharaab bohat ziyaadah peetee hai. aisee 'saNkhinee' Ghazal ke baare meN Ahmad Faraz ziyaadah behtar t^aur par bataa sakte haiN.
(3) Chaturnee: yeh qadre i'shq-pasaNd aur wafaadaar bh`ee hotee hai. is kee guftgoo meN bohat miTh`aas hotee hai, aNdaaz bohat pyaaraa aur moh lene waalaa hotaa hai. moseeqee se KhaaS lagaa,o rakh`tee hai. jinsee junoon kaa shikaar naheeN magar t^abeeyat meN iZ^t^iraab kee see kaifiyyat rehtee hai. yaksaaN Haalat meN kabh`ee naheeN rehtee. kaheeN bh`ee ek jagah ise qaraar naheeN. is ke jism meN lachak aur chaal meN Khumaaree hotee hai. yeh raNgeen kapRe pehen kar, baal banaa kar bohat Khush hotee hai. yeh 'chaturnee' Ghazal Nasir Kazimi, Muneer Niyazi, Zafar Iqbal aur Saqi Faruqee ke yahaaN akcar mil jaatee hai.
(4) Padminee: yeh sab se a'laa, Khush-guftaar, Khush-kirdaar hotee hai. is ke chehre kaa raNg gul-e-neelofer jaisaa aur jism KhoobSoorat anaar kee t^araH hotaa hai. aahoo-chashm, yaaqootee hoNT, raushan chehra, aaNkhoN meN nishtar rakhne waalee yeh 'padminee' Khushbu,oN kee dil-daadah hotee hai. is ke jism se Khushboo aatee hai. ph`ooloN se ise bohat pyaar hotaa hai, paseene meN i't^r-e-gulaab hotaa hai. yeh peshaab bh`ee kartee hai to us par bh`iRoN kaa hujoom ho jaataa hai. 'padminee' aaKhiree baar Ghalib ke saath` dekh`ee gayee th`ee. is ke ba'd kahaaN roo-posh ho gayee kisee ko kuch` patah naheeN, kisee ko kuch' Khabar naheeN. haaN itnaa yaqeen Z^aroor hai keh 'padminee' kaheeN nah kaheeN Z^aroor zindah ho gee, kisee kunj men, kisee SeHraa meN, kisee jaNgal meN bh`aTak rahee hogee. 'padminee' kee talaash jaaree hai."
is a'jeeb-o-Ghareeb teHreer se kam se kam yeh ma'loom huwaa keh :waaqi.a'atee: shaa'iree kee talaash Zafar Iqbal, Muneer Niyaazee Waghairah kee :hastinee, saNkh`anee, chaturnee: Ghazaliyaat meN kee jaa saktee hai. :padminee: riwaayatee shaa,i'ree kaa hee :waaqi,a'atee: naam lagtaa hai! albatta Khud waaqi,'aatee Ghazal kee in qismoN kee shinaaKht kaa koyee paimaanah hamaare paas naheeN hai! ba-harkaif isee tishnah-e-tashreeH ta'reef ke ba'd ab rasoomiyaatee aur waaqi,a'atee Ghazal par th`oRee see guftgoo kee jaa saktee hai.
(1) rasoomiyaatee shaa,i'ree kyaa hai?: internet par aane waale beshtar shaa,i'r rasoomiyaatee shaa,i'ree se waaqif haiN kyoN.k woh Khud bh`ee is ko taKhleeq kar rahe haiN. agar is se muraad Sirf woh shaa,i'ree lee jaaYe jis ke mauZ^oo,a'at meN gul-o-bulbul, bahaar-o-KhizaaN, hijr-o-wiSaal vaGhaire ke riwaayatee maZ^aameen numaayaaN haiN to aisee shaa,i'ree kal bh`ee hotee th`ee, aaj bh`ee ho rahee hai aur kal bh`ee hotee rahe gee kyoN.k in maZ^aameen kaa ta,a'lluq Sirf Ghazal kee riwaayaat se hee naheeN bal.k insaanee zindagee kee HaqeeqatoN se bh`ee bohat gehraa hai. agar is ta'reef meN woh kalaam bh`ee shaamil kar liyaa jaaYe jo sho,a'raa ne apne Zaatee tajribaat, mushaahidaat aur zindagee ke doosre awaamil kee teHreek par likh`aa hai to yeh kehnaa Zarooree ho gaa keh har rasoomiyaatee shaa,i'r kisee nah kisee waqt waaqi,a'atee bh`ee ho jaataa hai! gumaan Ghaalib hai keh aisaa hee waaqi,a'atee shaa,i'roN ke saath` hotaa ho gaa aur woh bh`ee kabh`ee nah kabh`ee rasoomiyaatee shaa,i'ree kar lete hoN ge!
(2) waaqi,a'atee shaa,i'ree kyaa hai?: khaa jaataa hai keh waaqi,a'atee shaa,i'ree meN meN shaa,i'r kee zindagee kaa a'ks Ghaalib hotaa hai. magar yeh ta'reef to akcar rasoomiyaatee shaa,i'ree par bh`ee Saadiq aatee hai! aaKhir darj-e-Zel ash,a'ar ko waaqi,a'atee nah kahaa jaaYe to phir aur kyaa kahaa jaaYe?
qaid-e-Hayaat-o-band-e-Gham aSl meN donoN ek haiN
maut se pehle aadamee Gham se najaat paaYe kyoN? (Ghalib)
kahaa main ne :kitnaa hai gul kaa cabaat?:
kalee ne yeh sun kar tabassum kiyaa (Mir)
tum mire paas hote ho goyaa
jab koyee doosraa naheeN hotaa (Momin)
th`aa kahaaN waqt keh hastee ke fasaane paRhte
Sirf u'nwaan hee u'nwaan nazar se guZre (Seemab Akbarabadi)
haaYe woh meree aaKhiree Hasrat
dil se niklee th`ee jo du,a'a ho kar! (Raz Chandpuri)
waaqi,a'atee shaa'iree ko samajh`ne ke liYe ham jadeed waaqi,a'atee shaa'iroN ke kalaam kaa jaa,izah leN ge. chooN.k Zafar Iqbal ko is qism kee shaa,i'ree kaa imaam maanaa jaataa hai is liye istidlaal aur taujeeHaat ke liYe un kaa kalaam ziyaadah ista'maal kiyee jaaYe gaa. i'laawah az-eeN ham doosre waaqi,a'atee shaa,i'roN ke kalaam se bh`ee istifaadah kareN ge. kaseer ta'daad meiN misaaleN pesh kareNge. jin ash,a'ar par koyee naam darj naheeN hai woh Zafr Iqbal ke haiN. sahoolat kee Khaat^ir un ke har sh'er par un kaa naam naheeN likh`aa gayaa hai.
hameN waaqi,a'atee shaa,i'ree ko samajhne meN diqqat pesh aayee hai. mumkin hai keh is kotaahee kee wajh hamaaree riwaayatee adabee tarbiyat ho. yaa ph`ir yeh shaa,i'ree hai hee aisee keh is kee ifhaam-o-tafheem aasaan naheeN hai.ba-har-kaif ham ne apnee samajh` ke mut^aabiq waaqi,a'atee shaa,i'ree ko muKhtalif iqsaam meN baaNTne kee koshish kee hai taa.k is ke samajh`ne meN aasaanee ho. waaqi,a'atee shaa,i'ree kee chand qaabil-e-Zikr KhuSooSiyaat darj-e-Zel haiN:
(a)saadagee-o-purkaaree!:
waqiaatee shaa,i'ree kee sab se numaayaaN KhuSooSiyat us kee saadagee ma'loom hotee hai.nah Sirf zabaan bal.k apnee fikr-o-bayaan men bh`ee yeh Sinf is qadar seedh`ee aur saadah hotee hai keh is ko paRhne men kisee meHnat kee Haajat naheeN hai. albattah yeh aur baat hai keh apnee aasaanee ke baawujood akcar ash,a'ar kaa mat^lab a'am a'ql kee girift se baahar ma'loom hotaa hai. afsos keh qaaree ke paas woh maKhSooS Zehn naheeN hai jis kee yeh shaa,i'ree mutaqaaZ^ee hai, aur nah hee us ko waaqi,a'atee shaa,i'r se Zaatee istifaadeh kee sahoolat HaaSil hai. ba-har Haal :saadagee: kee chaNd micaaleN HaaZ^ir haiN:
aag lagee hai jaNgal meN
kaaNp rahaa hooN sardee se (Ashuftah Changezi)
saaHil, ret, samundar, shaam
saath` hai mere pal bh`ar shaam
door ubh`artee lehroN meN
Doob rahee hai haNs kar shaam (Shaida Roomani)
is se ziyaadah :saadah-bayaanee: kaa taSawwur agar naa-mumkin naheeN to mushkil to Z^aroor hai. yaqeen nah ho to aap koshish kar dekh`eN!
raNg baahar se nah aNdar se nikaalaa hai kaheeN
sar-basar apne baraabar se nikaalaa hai kaheeN
micaal DhooNDh rahaa hooN maiN aaj tak us kee
woh ek raNg jo surKhaab se nikaltaa hai
mile agar nah kaheeN bh`ee woh be-libaas badan
to mere deedah-e-namnaak se nikaltaa hai
:raNg kaa apne baraabar se nikalnaa, rang kaa surKhaab se nikalnaa, be-libaas badan kaa deedah-e.namnaak se nikalnaa: aise ma'nee-Khez aur munfarid muHaaware haiN keh jin ke saamne a'ql-e-saleem ghuTne Tekne par majboor hai. koyee samjh`aa,o keh ham samjh`aaYeN kyaa? kuch` aur micaaleN dekh`iYe:
kahaN aisaa takalluf hai gh`aroN meN
baRe aaraam se haiN daftaroN meN (Ata-ur-Rehman Tariq)
dekh` shahaadat kh`el naheeN
baaz aa naqsheh-baazee se (Ashuftah Changezi)
aaTh baras kaa bachchaa meraa dost qareebee lagtaa hai
kaam bohat ho gaa papa ko pyaar se jab samjh`aataa hai (Asif Ali Mazhar)
waaqi,a'atee shaa,i'ree ke in laa-jawaab namoonoN par kuch` kehnaa sooraj ko chiraaGh dikh`aane ke baraabar hai!
hai kaamyaab to honaa bohat hee door kee baat
keh maiN to i'shq meN naakaam bh`ee naheeN hotaa
agar shaa,i'r i'shq meN kaamyaab naheeN ho sakaa aur naakaam bh`ee naheeN huwaa to Khudaa-raa bataa,iYe keh us be-chaare par kaun see Haalat muSaalat^ huyee hai? :yaa ilaahee! yeh maajiraa kyaa hai?:
ham-bistaree hai apnee hamaare liYe bohat
muddat se jaagnaa hai nah sonaa kisee ke saath`
deewaar-e-takiyah beech meN kar lee gayee balaNd
ham ne bich`aa diyaa jo biCh`aunaa kisee ke saath`
in ash,a'ar kee ma'nee-aafreenee aur u'loo-e-Khayaal ko kyaa kahaa jaaYe! behtar yehee hai keh ziyaadah Hadd-e-adab keh kar Khaamosh ho liyaa jaaYe!
(b) I'baarat kyaa, ishaarat kyaa, adaa kyaa!
Mirza Ghalib kaa she'r hai:
balaa-e-jaaN hai us kee har baat
i'baarat kyaa, ishaarat kyaa, adaa kyaa!
ab Zaraa yeh ash,a'ar dekh`iYe. in par tabSirah teHSeel-e-laa-HaaSil kee Haiciyat rakh`taa hai. har she'r apnee jagah ek be-bahaa nageenah hai aur aisee Khoob-Sooratee kaa Haamil hai keh us ko :zameenee: she'r kehne ko be-saaKhta jee chaahataa hai. aap bh`ee paRhiya aur sar dh`uniYe:
ik kameeneh kee roTiyaaN kh`aa kar
saKht beemaar ho gayaa hooN maiN (Praveen Kumar Ashk)
rog mat paal Ghazal kaa ai Ashk
tujh` ko yeh laRkee nah paagal kar de (Praveen Kumar Ashk)
mire hee paas th`e taKhleeq ke manSab sabh`ee kal bh`ee
maiN maaN hooN kis t^araH se seh maiN dard-e-zeh naheeN saktee (Masarrat Zeba)
zameenee masaa,il aur un kee shikaayat se inkaar naheeN hai. lekin :dard-e-zeh: aur woh bh`ee Ghazal meN? laa-Haula wa-laa quwwat! meHv-e-Hairat hooN keh dunyaa kyaa se kyaa ho jaaYe gee!
yooN to SeHat miree rehtee hai bohat Th'eek magar
ek takleef hai jaldee mujh`e hone waalee
abr umaNDtaa huwaa aataa hai guZar jaataa hai
ek baarish to mujh`e chaahiye hone waalee
ph`aNsnaa to mach`liyoN kaa muqaddar kee baat hai
daryaa meN apnaa jaal to Daalaa hee karte ham
is shehr se jo kooch na karte abh`ee kuch` aur
logoN kee pagRiyaaN to uch`aalaa hee karte ham
be-Zaa'iqa hee reh gayaa KHwaan-e-suKhan :Zafar:
thoRaa saa aur tez masaala hee karte ham!
bohat ziyaada Zarooree hai mach'liyoN kee t^araH
yeh raat din miree aaNkhoN kaa aab meN honaa
yeh ash,a'ar bh`ee apnaa jawaab aap hee haiN. agar shaa,i'ree isee kaa naam hai to is ko door se hee salaam karnaa behtar hai.
raushnee kaa badan huwaa rezah
rooH par gard raat kaa rezah
aaj yeh kis ne dil pah dastak dee
meHwar-e-zeest meN aTaa rezah (Muhammad Waseem)
TooTe agar hawaa to aNdh`ere kaa gul jh`aRe
maktoob le gayee hai sawere ke naam kaa (Javed Nasir)
ek laTToo kee t^araH gh`oom rahaa hooN ab tak
jaise Khud ko kisee chakkar se nikaalaa hai kaheeN
in ash,a'ar ko paRh kar hamaaraa sar bh`ee laTToo kee t^araH gh`oom rahaa hai. chooN.k is Soorat-e-Haal meN behtaree kee ummeed naheeN hai is liYe aa,iYe ab aage chaleN!
(c) naat^iqah sar-ba-garebaaN hai:
is u'nwaan ke teHt jo ash,a'ar diYe gaYe haiN woh har qism kee tashreeH-o-tauZ^eeH se baalaa-tar haiN. in kee aNdaroonee naazuk-Khayaalee, nudrat-e-fikr-o-bayaan, radeef-o-qawaafee kaa taal-mel apnee tafseer Khud hee faraaham karte haiN. aap bh`ee mulaaHiz^ah farmaa,iYe keh yeh mawaaqe' baar baar kaahaN mayassar aate haiN:
uljh`e daaRhee choTee meN
kh`elo ph`aag laNgoTee meN!
bikte dekh`aa hai insaan
do boTee, do roTee meN
aaj "Muzaffar" chaaNd huwe
kal tak th`e kajloTee meN (Muzaffar Hanafi)
zameeN kam hai to jaa kar aasmaaN par choomnaa hai
jahaaN woh ho naheeN saktaa wahaaN par choomnaa hai
jo naa-mumkin hai woh mumkin bh`ee ho saktaa hai ik din
kabh`ee us be-nishaaN ke har nishaaN par choomnaa hai
jh`alak ham ko naz^ar aatee hai is meN Saaf usee kee
hameN apne hee raNg-e-raa,igaaN par choomnaa hai
Habaab-aasaa agar yeh zindagaanee hai to har waqt
kisee ke meHram-e-aab-e-rawaaN par choomnaa hai
maiN us meN aap bh`ee Ghaa,eb saa hone lagtaa hooN
Ghubaar jo mire mehtaab se nikaltaa hai
Ghuroob hotaa hooN jab maiN kh`ule samundar meN
woh baNd hote huwe baab se nikaltaa hai
chiraaGh saa jo kisee butkadeh meN bujh`taa hooN
dh`uaaN dareechah-e-mehraab se nikaltaa hai
dekh`e jo maiN ne Khwaab woh Chillee ke Khwaab th`e
aaNkh`oN meN ph`ir rahee hai woh yaadoN kee kehkashaaN (Camar Tukravi)
yeh bh`ook beech meN aaKhir kahaaN se aayee hai?
yeh roTiyaaN bh`ee tire haiN, shikam bh`ee tere haiN (Aqeel Shadab)
tumhaare bin miraa pardes meN ab dil naheeN lagtaa
maiN din jaane ke gintee hooN calendar saamne rakh` kar (Masarrat Zeba)
(d) aate haiN Ghaib se yeh maZ^aameeN Khayaal meN!
jaisaa keh u'nwaan se z^aahir hai yeh ash,a'ar hamaare sar par se guZar gaYe! chooN.k in kee ifhaam-o-tafheem kaa ta,a'lluq kisee aur hee duniyaa se ma'loom hotaa hai ham in par tafSeelee raaYe dene se b.ilkul qaaSir haiN. agar aap ko bh`ee yehee pareshaane laaHaq ho to ph`ir ham kisee waaqi,a'atee shaa,i'r se in kee tafseer aur rumooz HaaSil karne kee koshish kareNge:
baRee lat^eef th`ee woh baat jis ko sun,ne se
lahoo badan meN huwaa hai ubaal-aamaadah (Khalid Bashir)
kab tak maiN kiwaaRoN ko lagaaYe huwe rakh`taa?
din ugte hee aHwaal-bayaanee nikal aayee (Ahmad Kamal Parwazi)
maiN waaqif hooN tiree chup-go,iyoN se
samajh` letaa hooN teree ankahee bh`ee (Suleman Khumar)
aaj kal Farsi kaa i'lm u'moomee t^aur se zawaal-paZeer hai. naYe likh`ne waale KhaaS t^aur se is meN kamzor haiN. yeh baat z^aahir hai keh achh`ee shaa,i'ree ke liYe thoRee bohat Farsi aanee chaahiYe. is kaa cuboot har achh`e shaa,i'r ke kalaam meN mil jaaYe gaa! lekin oopar ke ash,a'ar meN jo Farsi kee taraakeeb ista'maal kee gayee haiN woh laa-jawaab haiN! in kee taKhleeq ke liYe jo Zehn chaahiYe woh har ek ko wadee,a't naheeN huwaa hai. yehee Haal Zafar Iqbal ke ash,a'ar kaa hai:
maujoodagee see jaise kisee aur kee bhee hai
manz^ar jo ban rahaa hai tikonaa kisee ke saath`
ek hee baar ke hone meN ta,ammul th`aa magar
ab paRaa hai usee Haalat meN dobaarah honaa
kuch` samajh meN hee nah aanaa miree aur ph`ir har baar
aur kaa aur un aaNkh`oN kaa ishaaraa honaa
jahaaN qiyaam hai us kaa wahaaN se haT kar hai
keh hai zameeN pe hee lekin zameeN se haT kar hai
Ghubaar-e-Hwaab hai donoN meN ek saa lekin
woh baaGh-e-bosa bahisht-e-bareeN se haT kar hai
Zafar maHaaz-e-muHabbat se apnee paspaayee
kisee bh`ee qaafilah-e-waapaseeN se haT kar hai
kuch' faaSile waise bh`ee th`e aapas meN ziyaadah
kuch' Khwaab tumhaare th`e hamaaroN se bohat door
yooN us ne sabh`ee jama' kiYe ek jagah par
aur ph`eNk diyaa hai mujh`e saaroN se bohat door
Khalwat-kadah-e-dil peh zubooN-Haalee-e-bisyaar
hai Soorat-e-ganjeenah-e-alfaaz^-o-ma,a'anee (Ain Tabish)
Khushk-o-tar zard haree faSl ka,a'Sf-am-maakool
ab kisee Khwaab se chaspaaN naheeN ta'beer koyee
Ghair marboot^, gumaaN-waSf, muHarraf, mubham
ya'nee har shaKhS huwaa aayat-e-Injeel koyee (Salim Shehzad)
shaayad th`aa ik bagooleh meN tanhaa,iyoN kaa Gham
Zeba jo dil ke gamle meN cactus lagaa mujh`e (Masarrat Zeba)
bo dee th`eeN maiN ne apnee dasoN uNgliyaaN jahaaN
pairoN meN aa rahaa hai wohee raastah saa ph`ir (Rashid Imkan)
(5) Ghalat^ee-haaYe-maZ^aameeN mat pooch`!:
is u'nwaan ke teHt chand waaqi,a'atee shaa,i'roN ke kuch` ash,a'ar diYe jaa rahe haiN.in ko paRhne ke ba'd yeh sho,a'raa :zameenee: shaa,i'ree kee dh`un meN Urdu Sarf-o-naHv, uSool-e-zabaan-o-bayaan aur faSaaHat-o-balaaGhat kee ibtidaayee ma'loomaat se begaanah ho gaYe haiN. aisaa ma'loom hotaa hai keh is i'lm ko Haasil karne ke liYein ko kisee :rasoomiyaatee: ustaad-e-fan se rujoo' karne kee saKhat Z^aroorat hai. koyee saaHeb-e-zabaan aisee faash Ghalat^iyaaN naheeN kar saktaa hai aur agar us se in kaa Sudoor ho bh`ee jaaYe to woh aise kalaam ko shaaye' kawvaane kee himmat to yaqeena" naheeN kar saktaa hai!
har Gham ko sehne kee t^aaqat denaa mujh`e
koyee bh`ee Gham is se pehle mat denaa mujh`e
aisaa mat karnaa jeete jee mar jaa,ooN
marne se pehle shuhrat denaa mujh`e (Muhammad Alvi)
ab apnee cheeKh hee kyaa, apnee be-zabaanee kyaa
meHZ^ ameeroN kee zindagaanee kyaa (Azra Parween)
woh darmiyaan-e-roz-o-shab waqfah hai kyaa?
zer-e-ufuq meree t^araH jaltaa hai kyaa? (Shafaq Saupuri)
yeh kashf sab ke liYe a'am bh`ee naheeN hotaa
agar.ch shaa,i'ree ilhaam bh`ee naheeN hotaa
shaa,i'ree aur :hotaa:? besoKht a'ql ba-Hairat keh eeN cheh bul-a'jabee ast?
abh`ee munkashif honaa hai pehlee baar ham par
abh`ee ham ne kisee naqsh-e-nihaaN par choomnaa hai
Zafar ham ne abh`ee Gharqaab ho jaane se pehle
kaheeN apne dareeda baadbaaN par choomnaa hai
ahl-e-zabaan :ne: maaZ^ee ke liYe likh`te haiN nah keh Haal aur mustaqbil ke liYe! yahaaN :ham ne: kee bajaaYe :ham ko: honaa chaahiYe. dekh`iYe Ghalib kyaa kehte haiN:
ham ne maanaa keh taGhaaful nah karo ge lekin
Khaak ho jaaYeN ge ham tum ko Khabar hone tak!
aur yeh bh`ee deedah-e-i'brat-nigaah se dekh`iYe:
aaNkh`oN ke aa,ine to subuksaar th`e yahaaN
dil ke niwaaH meN hee giraanee kaa raNg th`aa
ooper se chal rahee th`eeN hawaa,eN bh`ee tez tez
Khaashaak-e-KhooN peh sho'lah-bayaanee kaa raNg th`aa
maiN jis jagah naheeN th`aa wahaaN door door tak
aab-o-hawaa peh meree nishaanee kaa raNg th`aa
Khudaa-raa! koyee bataaYe keh yeh :aaNkh`oN ke aa,ine kee subuksaaree, Khaashaak-e-KhooN peh sho'lah-bayaanee kaa raNg, aur aab-o-hawaa peh naishaanee kaa raNg kis chiRyaa ke naam haiN:?
is Haqeeqat se to inkaar mumkin naheeN hai keh zamaaneh ke Haalaat badalte rehte haiN. jaisaa keh kisee ne kyaa khoob kahaa hai:
cabaat ek taGhai,yyur ko hai zamaane meN
sukooN maHaal hai qudrat ke kaar-Khaane meN
is liYe adab-o-she'r ke liYe bh`ee zamaaneh ke saath` chalnaa Z^arooree hai. agar aisaa nah ho gaa to kal zamaanah kaheeN kaa kaheeN poNhach chukaa ho gaa aur adab-o-she'r jumood kaa shikaar ho kar aahistah aahistah Ghaa,ib ho jaaYeN ge. albattah sochnaa yeh hai keh kyaa Ghazal in badaltee qadroN ke saath` badal kar apnaa raNg aur mizaaj qaa,im rakh` saktee hai? yeh bh`ee to mumkin hai keh Ghazal bohat se zameenee maZ^aameen bayaan karne se qaaSir hai aur woh apnee fit^rat meN insaanee jaZbaat-o-eHsaasaat ko hee behtar bayaan kar saktee hai. waaqi,a'atee masaa,il kee daad-rasee ke liYe doosree aSnaaf maujood haiN jin ko ista'maal karnaa aur in meN naYe tajribe karnaa mustaHsin hai. Ghazal kaa Huliyah bigaaR kar yeh maqSad Haasil naheeN ho saktaa hai:
t^ai kar chukaa hooN raah-e-muHabbat ke marHale
is se ziyaadah Haajat-e-sharH-o-bayaaN naheeN! (Raz Chandpuri)